Walaikum Assalaam
Bohat hi khoobsurat topic hay iss mahinay ka, INSHALLAH zaroor likhoon ga.
ASSLAM-O-ALAIKUM
ISS MAHEENE SAB KO ISS K HAQ YA MUKHALIFAT
MEN LIKHNA HAI K HUM LOG JO JO MAZHABI
AMOOR ADAA KERTE HEN OR JO AUTHENTICALLY THEEK B HON PER DEKHNE WALE AWEN TOK DETE HEN HALANKEH KHUD SHAYAD ALIF BAY KA B PTA NA HO...UN KO TOKNA CHAHIYE
YA NAHI...KUCH LOG ISE DERRH EENT KI APNI MASJID KEHTE HEN
TU KYA WAQI AISA HAI??? AP SAB LOG MUNASIB TAREEQE
SE DALAIL DEN HAQ MEN YA MUKHALIFAT MEN
Rules:
Ek member ek hi baar share karay ga
Same aur edit sharing accept nhi hogi
Last date 20/2/2014 hai
Winner 50% poll aur 50% admins decide karen gy.
Last edited by Hidden words; 03-02-2014 at 12:37 AM.
Walaikum Assalaam
Bohat hi khoobsurat topic hay iss mahinay ka, INSHALLAH zaroor likhoon ga.
Walaikum Assalaam
Aik bohat hi sensitive mouzoo per aap nay behas karnay ka kaha hay, iss kay liye shayed jitna bhi likha jaayay woh kam hay, alabtta in short yehii likhna chahoon ga kay humain jitnay deeni maamlaat ka ilm hay aur humain yaqeen hay aur hum nay khudh verify kia hay kay jo bhi farayiz ya sunnat ko hum ada kar rahay hain woh authentic hain tou humain kisi kay touknay per ziyada tawajju nahin daini chayeh....
kiyonki aap apnay amal kay khudh zimaydaar hain aur kisi kay touknay per na hi aap ka ikhitiyar hay aur na hi humain aisay logon say ulajhna chayeh jinn ko humari baat ki samajh na hoo aur khudh ko 'phannay khan' samajhtay hoon, humain apnay deeni farayiz aur sunnat-e-rasool SAW ko khush asloobi aur naik niyatii say baghair kisi dikhaaway kay ada karna chayeh aur bohat hi narmii aur shafqat say sahii taleem ko auroon tak poohachana chayeh, aur hidayat daina ALLAH SWT per chouR daina chayeh.
Baaqi deeni fasaadat aur firqawariyat say humain ALLAH SWT nay Quran main aur Huzoor-e-Akram SAW nay apni ahdiths main mana farmaaya hay. Masjid ALLAH SWT ka ghar hay uss per kisi aik khaas firqay ka qabza bilkul hi ghair munasib, ghair ikhalaaqi aur ghair mohazibb hay, insaan chahay kaun say hi firqqay say taaluq rakhta hoo, sab ka 1 ALLAH per aur 1Nabi SAW per imaan hay tou phir namaaz yaa ibaadat karnay waali jagain kiyon alag alag!!
Mera zaati khayal yeh hay kay humaray maashray say 'darguzar' khatam hota jaa raha hay aur hum choutii choutti baaton per aik dosray ko toukna tou douur ki baat hay qatal karnay say bhi guraaiz nahin kartay.... chouti chouti behas main jaisay namaz main payoon ka kitna khula hona chayhe, sar ko dhakna chayhe, haath kaha baandhnay chayeh ya khulay rakhnay chayeh.... waghiara waghaira per itnay shadeed ikhtilaafaat hotay hain kay aik dosray ko sahii saabit karnay kay liye aslaaha (weapons) ka istimaal aik aam baat hogayiii hay.....
Namaz kii maqbooliyat ka maamla ALLAH SWT kay paas hay aur humaray har amaal ki maqbooliyat bhi usi RAB AZWAJAL kay paas hay tou hum aapas main laRR kar kiyon aik dosray kay amaal ko ghalat ya sahii saabit karain... humain chayeh kay hum darguzar say kaam lain, sahii taleem ko khush asloobi kay saath bayan karain, aur hidayat daina na daina ALLAH Azwajal per chouR day kiyon woh kisi kay ikhtiyar main nahin.
May ALLAH SWT light and guide our ways and make of those who listen to good words and implement them in our life to be a better human being and best of mulims. AMEEN SUM AMEEN
Wa Alaikum Aslam!
Boht acha mozo muntakhib kia... is k liye apka behad shukriya !
Ye Ikhtalaf drasal yahan se shoro hota hai k hum ne mazhib or duniya ko alag ker dia jb k Islam aik mukammal zabta e hayat hai...
Islam kisi mazhib ka nhi deen ka naam hai, dosre mazahib ki tra ye mehaz jumla ibadat ka nam nhi balky khuda or Rasool (S.A.W) ki
atayat mai kia gaya her fael ibadat hai...
Aj hum ne Islam mazhib k tor per le lia hai....bhesiyat deen nhi apnaya
Uski barhi waja hai maghrib ki taqleed, or do qomi nazriye ki pamali !
Hum maghrib ka tarz e libas, or hinduon ki rasoom apnana pasand krty hain...
Is liye jb hum mai se khoi shakhs Islam ko mukammal tor per apnaye to wo in tmam kharafat ko tark ker k sunnat ko apnata hai...
to osy kaha jata hai DERRH EENT KI APNI MASJID khari kerna.
Q k dosre log osy qabol nhi kerty... Maghrib zda zehn isy qabol nhi kr skty ...
Halan k wo janty hain k wo haq per hai magar phir b uski hoslashikni krty hain ...
Dosri baat ye k aj k dour mai hum mai her shakhs amli tor pe deen ko itna nhi apnata jitna
k firqa jaat pe behas kerta paya jata hai...
Hum Islam ko apne difa k liye istemal kerty hain..
Jb tk hum per koi afat na toty hmain khuda yaad nhi ata...
Hum deen per behas krty hain apne ghuman k mutabik
jb k ghar main parhe Quran k ghulaph per muddat se gard k zarrat parhe rehty hain...
Ya phir hum osy parhte hain to bas swab kamany k liye hain .. kbi janny ki koshish nhi krty k khuda ne is mai kia kaha!!
Jahan ghuman se kam liya jaye wahan gumrahi or fitny paida hoty hain jis ki haliya misal lal masjid, pindi incident hain..
Magar mje smj nhi ata k akhir hum ISLAM ko COMPLETE CODE of LIFE
kehty hain to is per mutmain Q nhi hoty ?
Q ghair islami rasm o riwaj ko dunia dari ka naam de ker lazim smjte hain!
Baz Oqat ye cheez mje boht afsurda kr deti hai....
jab mere parda krny per mje taliban or
fazol rasoomat ki nafi per wahabi ka naam dia jata hai...
Mere azeez o aqarab or baz oqat friends b critisize kr jaty hain is per..
Per mje kisi ki parwa nhi q k hmara awwalen maqsad khuda ki pasand or raza hi hona chahiye.
Or is mamly per kisi se behas hergiz nhi krna chahiye..
,,,ÙˆÛÛŒ تو سب سے Ø²ÛŒØ§Ø¯Û ÛÛ’ Ù†ÙÚ©ØªÛ Ú†Ùیں میرا
..!!!â€Ø¬Ùˆ Ù…Ùسکرا Ú©Û’ ÛÙ…ÛŒØ´Û Ú¯Ù„Û’ لگائے مجھے
ap ki parday wali bat zabardast hai jab mene b first time abaya pehna tu mujhe b barri jugten parri thinper allhamdolillah men is pe qaim-o-daim hun or ap ne quran ki b khoob kahi mujhe Mumtaz mufti ki bat yad a gai k wo quran ko apni bed book bnana chahte the per un ki walida ko be adbi se dar lagta tha or use ghulaaf men lapaitt k itna ooncha rakhtin k khud un ka hath b mushkil se pohanchta tha per mene ise apni bed book bna lia hai
![]()
Thread closed![]()
![]()
ღ∞ ι ωιll αlωαуѕ ¢нσσѕє уσυ ∞ღ