very good Writer ko chuna hai
Salam friends
Is thread may Aaap ko Khalil Jibran ki books sy iqtbaas share kerny hain..
21 Dec ko thread close ho jaye ga or phir polling ho gi
Aik member aik hi iqtbaas share ker skta hy
hope k achay achay iqtbaas perhny ko milay gay ...Aap ki posts ka intzaar rhay ga...
Last edited by DaNgErOuS tEaRs; 09-09-2012 at 10:28 PM.
very good Writer ko chuna hai
"Eik Din Saar Yaa Rasool Eik Bagh Main Eik Bache Se Mile..
Bacha Bhag k In k Pass Agaya Or bola.....
"Suba Bakhair Hazoor"...
Peghambar ne Kaha....Suba Bakhair nane..Aaj main Dekhta Hun Tum akele Ho!..
Bache ne Khushi se Khil khilate Huwe kaha..Apni aaya Ko Khane Main Eik zamana laga hai mjhe...
Woh smjh rahi hain main jhariyon k Udhar hun...or aap dekh rahe hain main idhar hun...
Phir is ne Peghambar k Chahrey Ki tarf Dekhte Huwe Pucha..?
Magar Aap b to tanha hain..Aap ki aaya kya huwi?
Peghambar Bole Yeh Eik alg Qisa hai..Jo Sach Pucho To Main Koshish Karun to Bhi Use Kho Nahi Skta...
Haan Jb MAIn IDhar aya Tha to woh Jhariyon k Udhar meri talash Kr rahi thi...
Bache Ne Khushi se Tali bajate Huwe Kaha...!
To Phir Aap bhi mere trha Khoye huwe hain na..?
Akha Kya Mazah hai Yun Kho jane main bhi...Or Woh Puchne laga...
Mjhe Khete hain Saar Yaa Rasool..Or Tum ne Bhi Mjhe Nahi bataya k Tum kon Ho?
Main....? Main Sirf MAin Hun...!
Bache ne jawab diya or aaya mjhe dhond raho hai Aaya mjhe dhond rahi hai...Aaya jise pata hi nahi k main kahan hun.!?
Peghambar ne Bache k Chahrey Ki tarf dekhte huwe kaha..!
Main Bhi Pal Bhar k Liye APni Aaya se bhag aaya hun.....lakin Yeh Jald Mjhe Dhoond le Gi..!
"YEh To Mjhe Bhi Maloom k mEri Aya Mjhe Dhoond LE Gi"
Usi Waqt Eik Aurat Ki Awaz Sunai Di..Jo us bache Ka naam LE kr Use Pukar rahi Thi...?
"Dekha na BAcha" Bola Main ne aap se kaha nai Tha k Woh Mjhe Dhoond rahi hai..!
Or Isi Aan Eik Awaz Sunai Di..!
Kahan Ho Tum Saar Yaa?
Peghambar Bole..!
Dekha Na..Mere baale Akhir Unhon ne Mjhe Dhoond Hi Liya Na..!Or Chahrey Ko Uper Uthate Huwe Dhere Se Kaha....!
"Allah Humma Labaik"
Yahan Hun Main.....!"
​
ahaan sahi hai ji
dhondti hon kuch
As salam o Alaykum
Ifkar E Gibran
Jab Koi Shakhs Tere Aise Gunah Ko Muwaf Ker De Jis Ka To Ne Irtekaab Kiya Tha
To Us Ka Aik Aisa Gunah Muwaf Ho Jata Hai Jis Ka Woh Murtakib Hua
Khalil Gibran Ki Khubsurat baton Se Hamari Diary Bhari Pari Hai 2 batein Aap K Sath Share KErte Hain
Tanhayee
Agar Tum Tanha Ho Aur Waqt K Dil Shikan Lamhat Tumhare Seenay K Mehsusaat Ko Pamaal Ker Rahay Hain To Kya Hua??
Tum Is Dunya Main Akilay Aaye Thay Aur Akialy He Jao Gay
Jab Qudrat Ne Tumhein Akaila He Khalq Kiya Hai To Phir Tum Tanhayee Se Q Ghabrate Ho???
Waise To hamari Diary Khalil Gibran Ki Tehrooron Se Bhari Pari Hai Magar Aaj K Daur Main Dekha jaye To LAug Tanhayee se Bhagte Hain 2ndly Sochte nahi K Qabar main Akailay Jana Hai To yeh Tehreer Achi Lagi To 2ri Traf Aaj K Daur Main Muwaf Kerna Gunah E Azeem Aur aana Ki Tauheen Samjha Jata Hai So Yeh Dono Batein Khalil Gibran ki achi Lagin So Munasib jana Share Ker Aur yeh Jo ALst main ham ne Bak bak Ki Hai us k Liye Muazrat Khawah Hoon
closed