"A man builds his own fate"
7th grade main practice k liye mile Translation paragraphs main likha ye jumla aksar meri sochon ka markaz bna rehta....
Insan apni kismat khud bnata hai ...... kia waqayi ye sach hai ? Jb k insan ki zindagi mai jo kuch hona hai wo pehle se LOH e QALAM mai raqam kia ja chuka hai ...
Insan kb is dunia pe qadam rakhe ga or kb koch kre ga!
Usy kitna rizq mile ga !
Us ke dost kon hon ge
Or shareek e hayat kon ho ga !
Us ko kitni naimtain milain ge
Or kitni dolat !
Kitni khushiyan or kitny gham!
Kitne masaib or kiti azmaishain !
To phir insan apni kismat khud kese bnata hai ?
Nhi , insan apni kismat khud nhi bnata jahan tak meri naqas aqal ne jana !
Insan sirf apni kismat sanwar skta hai... Koshish kr skta hai !
Jese aik shakhs ki Kismat mai likh dia gaya k osy itni dolat milay gi.... Ab us shakhs ka khud ka kirdar sirf itna hai k wo usky hasool k liye konsa rasta chunta hai..... Agar wo us dolat ko chori, daka ya kisi ka haq mar kr hsil krta hai.....haram zariye se.....Ya halal treeqy se apni mehnat k zariye us RIZQ tak pohanchta hai !
To be continued....