Hahahah yaar to mein kia karoon sahi baat hai jo wohi nikle gi na @thefire1;
Hahahah yaar to mein kia karoon sahi baat hai jo wohi nikle gi na @thefire1;
its okay
walaikum assalam
wese aqalmand hote hain ya nhi ye to nhi pata lakin ye mene observe kya hai k us k bad agar un k halaat achay hon to log kehtey hain dekho kitna acha faisla tha ... aur agr halaat sahi na reh saken to kaha jata hai dekho kitnay bewaquf thay .. ghlata faisla thay .. esa mjhe lagta hai
Assalaam-O-alaikum
Sab say pehlay tou aap sab ka bohat shukriya kay aap nay iss thread main apni khoobsurat raayay say aagha kia, sab nay apnay hi andaaz say mohabbat ko dekha hay, samjha hay, yaa jaana hay, meray khayal say mohabbat itna complicated rishta bhi nahin jiss ka samajhna itna mushkil ho!
Infact humari zindagi bhi itni complicated nahin hay jitna hum nay bana lia hay, zindagi bohat simple hay... isi tarah mohabbat ka jazba bhi aik bohat hi 'saada', 'khoobsurat' aur 'qabil-e-ehtraam' jazba hay! Main tou uss shakhs ko zinda hii nahin samajhta jiss kay DIL main MOHABBAT na hoo!
Jahan tak thefire1 ki baat hay.........hmmmmm
sahii kaha hay kisi member nay, kay jahan thefire1 ki baat hay tou uss kay liye mohabbat srif AQALMANDOON ka kaam hay....!!
Mujhay iss haqeeqat ka aiytraaf hay kay main mohabbat waqayii main PRACTICAL aur AQALMANDOON ka hi kaam hay Main Mohabbat bohat soch samajh kar karta hoon, main kaisay itnay khoobsurat rishtay main baghair sochay samjhay mubtla ho jayoon.... yeh tou iss khoobsurat rishtay kay saath ziyadtii hogii kay main jab koi Car khareedon tou uss ki poori details loon, koi mobile loon uss ki poori specification samjhoo.... aur jab MOHABBAT jaisa sab say IMPORTANT maamla hoo (jo kay kisi bhi dunyawi materialisic cheese say compare nahin ho saktii) tou main ANKHAIN bannd kar kay keh doo kay 'Mujhay tum say pyar hay aur baaqi sab baiqaar hay ' bilkul nahin!!!
Main har ilzaam waqt per nahin daalna chahta kay, yaa halaat per nahin daina chata, yaa apnay dil ko paagal aur apnay aap ko baywaqoof nahin kehlwaana chahta.... meri mohabbat main mera khuloos, merii soch, meri fikar, mera dil aur dimagh, meray ehsaasat, meray jazbat, meri zaat.... mehaz meray wajood main rehnay waalay har ehsaas meri mohabbat ka jeeta jaagta suboot hon gain.....!
Main Mohabbat main devdas ki tarah sharaab main mubtala nahin hona chahta, majnoon ki tarah galiyon ki khaak nahin chaannna chhata, heer ki tarah matkay per nadi paar karnay ki koshish nahin karna chahta, Farhad ki tarah Doodh ki nehar nahin banana chahta..... inn sab Qisay-kahniyon say alag main nay mohabbat karta chahta hoon....
Jahan tak main MOHABBAT ko samjha hay yeh sekha hay kay mohabbat nay mujhay jeenay ka shouur sikhaatii hay haar jaana nahin!
Mohabbat 'taqaddus' ka woh muqaaam ata kartii hay jiss tak shayed soch ki rasyii bhi na ho!
Mohabbat auroon say mohabbat karnay ka ka saleeqa sikhaatii hay....
Mohabbat WAFA ki taleem daitii hay taakay main apni mohabbat main itna andha naa ho jaayaon kay main apnii mohabbat ko paanay kay liye apnay waldain, apnay ghar waalay aur unn sab aziz dostoon ki mohabbat ko qurbaan kardoon jinhoon nay zindagi kay bohat hi khoobsurat lamhay meray saath guzaaray hain!
Mohabbat mujhay apnay aap say mohabbat karnay ka saleeqa sikhaatii hay kiyonki jo cheese khudh mujh main nahin hogii woh main auroon main kaisay taqseem karoonga!
Mohabbat mujhay insaaf karna sikhaatii hay, naa-insaafi nahin
Mohabbat mujhay loggon kay huqooq ki adayegii ka sabaq daitii hay, na kay haq-talfii ka
Mohabbat mujhay khush-o-khuzoo say ibaadat karnay ka tareeqa sikhatii hay naa kay ibaadat main tasweer-e-yaar ko laa kar uss main khalal paida karnay ka!
Mohabbat nay mujhay Khouf-e-Ilahyee say mutraadif karwaaya hay naa kay 'shaitaan' ki pairwii!
Mehaz yeh kay MOHABBAT nay mujhay aik bashour, ba kirdaar, ba-haya, aur ba-ikhtiyar insaan bannay main madad kiii
hay.....!!!
Ab aap khudh faisla kar lain kay mohabbat HOSH cheen laitii hay.... yaa HOSHMANDD bana daitii hay!!!
Dear Members,
Humarii misaal unn teen andhoon ki tarah hain jo aik ZOO main jaatay hain aur haathi ka mushahida kartay hain.... jab log unn say poochtay hain kay haathi kaisa tha tou
1. Aik kehta hay kay haathi 'rassi' kay jaisa hay, kiyonki uss nay haathi ki dumm ka mushida kia.
2. Doosra kehta hay kay haathi 'Pillar' kay jaisa tha, kiyonki uss kay haath main haathi ki tang aayii.
3. Teesra kehta hay kay haathi 'ChouRa aur pehla hay' uss kay hissay main haathi kay KAAN aatay hain!
Matlab yeh hay kay woh teenon apnay statement main Sahiii hain (apni soch kay hissab say - andhay honay ki waja say) aur teenon ghlat hain (humari soch ki hisaab say - aankh waala honay ki hisaab say).... main hum unhain aisay andhoon ko BAYWAQOOF aur aankh waaloon ko HOSHMANDD nahin keh saktay.... kiyonki dono hi apni soch kay hissab say sahii hain..
Humaray samnay BEHTREEN misaal humaray SAHAB-E-KARM ki MOHABBAT hay, kiyonki SAHAB-E-KARAAM nay humesha BALANCED or MIDDLE tareeqa follow kia, na hi ISHQ ki hadoon ko cross kar kay WALIALLAH bann gayay aur naa hi DUNIYA ki mohabbat ko apna kar BADSHAHAT ko apnaaya!
1. agar Shohar banay tou behtreen shohar
2. agar mujahid banay tou behtreen mujahid
3. agar Khalifa banay tou behtreen khalifa
4. agar guide banay tou behtreen guidance dee
5. agar baap banay tou pur-shafeeq baap
6. agar bhai banay tou behreen bhai
7. agar dost banay tou aisay dost jiss ki misaal hum aaj tak daitay hain!!!
8. wagaira wagaira......!
Yeh hay MIDDLE and BALANCED way of living life, and understanding MOHABBAT, jo humain har haal main EXTREMISM say mehfooz rakhtii hay chahay woh duniya kay banayay huway rishtoon ki MOHABBAT hoo yaa phir ISHQ-E-ILAHEE....!!!
May ALLAH SWT light and guide our ways AMEEN SUM AMEEN
Meri post ki tawaalat kay liye maazrat, mujhay apna nuqta-e-nazar samjhaanay main kaafi dinoo say dushwaari ho rahii thi, and I hope I made my point very clear!
Khush rahyeh
Fi amaan ALLAH
@Ali_; @Aks; @attiaahsan; @~HaAni~; @Arosa Hya; @shazia rana; @Assassins; @sarfraz_qamar; @Unsaid words; @Zindagi; @Hidden words; @King Kong; @sannan; @Chandbhai; @naz; @LoViNg IrFaN;
Har Insan Ki Apni Fitrat Hoti Hai
Koyi Hoshmand Ho Kar Bhi Mohobbat Main Apni Aqal Kho Baithta Hai
To Koyi Aqalmand Ho Kar Bhi Mohobbat Main Apa Hosh Kho Baithta Hai
Haqeeqat Yehi Hai Ke Aqalmand Aur Hoshmand Hona Zaroori Nahin
Ye Mohobbat Wo Nasoor Hai
Jis Ke Dil Main Rach Bus Jaaye To Usi Main Jazb Ho Jaati Hai
Jub Aqal Waale Aur Hosh Waale Mohobbat Soch Samajh Ke Nahin Karte
To Bechaare Behosh Laugon Ka Kiya Qasoor
Kyun Ke Mohobbat To Andhi Hoti Hai
Aur Ye Ho Jaati Hai
Is Liye Har Insan Ki Fitrat Dekhi Jaaye Gi
Na Ke Aqalmandi Yaa Hoshmandi
پھر یوں ہوا کے درد مجھے راس آ گیا