acha silsla hy Aapo ...
Jang Mian Roz Aik shair nazron ke samne se guzarta hai..kafi mayeen khez hota hai..socha wo yaha share kiya karon ..Mohtram Anwar Shour Sahab Ka Daily Aik Shair Hota hai.
Gilani
Multan Buzargo Ka,waliou Ka Ilaqa Hai
Is Shahar Ki Nisbat Se Mat Pochye Kiya Hain wo
Tazeem-o-Aqedat Ke Haqdar Na Hon Kaise
Makhdom Hain,Syed Hain,Yousaf Hain,Raza Hain wo
acha silsla hy Aapo ...
"Dekha"
Kabhi Kisi Ko Uthate Dekha,Kabhi Kisi Ko giratey Dekha
Tarah Tarah Aik Dosrey Ko Hansatey Dekha,rulatey Dekha
Pachas(50) Barson Ki zindagi Main Hamari Qoumi Esambly Ney
Bhot Se Logon Ko Atey Dekha,Bhot Sey Logon Ko Jatey Dekha
ahaa nice
"Majbor"
Ku Na Dain Jhamoriyat Ka Sath Wo
Jab Ke Inka Masla Kuch Aur Hai
Sadar Bush Bhi Kiya Karey,Majbor Hain
Aj Kal Jhamoriyat Ka Dour Hai
"Kaami"
Hamain Hasil Hai Jhamori Hakomat
Magar Matloba Cheezon Ki Kaami Hai
Nahi Hai Aj Kal Bijli Watan Main
Faqat Jhamoriyat Ki Roshni Hai
"Mubarakbad"
Wazarat Ka Ohda Mila Hai Jinhe
Karain Tehniyat wo Hamari Qabool
Matanat Se Hum Kehrahe Hain Yeh Baat
Na Samjhey Ise Koi April Fool
"wazarat"
Noshtey Main Na likhi Ho wazarat
Tu Kaise Yeh Saa`adat Hath Aye
Kisi Ne Koshishon Se Bhi Nahi Payee
Kisi Ko Mil Gaye Bhetey Bhithaye