asslam-o-alaikum
iss maheene ki winner hen AROSA HAYA
ye rahi in ki sharing:
Boht acha mozo muntakhib kia... is k liye apka behad shukriya !
Ye Ikhtalaf drasal yahan se shoro hota hai k hum ne mazhib or duniya ko alag ker dia jb k Islam aik mukammal zabta e hayat hai...
Islam kisi mazhib ka nhi deen ka naam hai, dosre mazahib ki tra ye mehaz jumla ibadat ka nam nhi balky khuda or Rasool (S.A.W) ki
atayat mai kia gaya her fael ibadat hai...
Aj hum ne Islam mazhib k tor per le lia hai....bhesiyat deen nhi apnaya
Uski barhi waja hai maghrib ki taqleed, or do qomi nazriye ki pamali !
Hum maghrib ka tarz e libas, or hinduon ki rasoom apnana pasand krty hain...
Is liye jb hum mai se khoi shakhs Islam ko mukammal tor per apnaye to wo in tmam kharafat ko tark ker k sunnat ko apnata hai...
to osy kaha jata hai DERRH EENT KI APNI MASJID khari kerna.
Q k dosre log osy qabol nhi kerty... Maghrib zda zehn isy qabol nhi kr skty ...
Halan k wo janty hain k wo haq per hai magar phir b uski hoslashikni krty hain ...
Dosri baat ye k aj k dour mai hum mai her shakhs amli tor pe deen ko itna nhi apnata jitna
k firqa jaat pe behas kerta paya jata hai...
Hum Islam ko apne difa k liye istemal kerty hain..
Jb tk hum per koi afat na toty hmain khuda yaad nhi ata...
Hum deen per behas krty hain apne ghuman k mutabik
jb k ghar main parhe Quran k ghulaph per muddat se gard k zarrat parhe rehty hain...
Ya phir hum osy parhte hain to bas swab kamany k liye hain .. kbi janny ki koshish nhi krty k khuda ne is mai kia kaha!!
Jahan ghuman se kam liya jaye wahan gumrahi or fitny paida hoty hain jis ki haliya misal lal masjid, pindi incident hain..
Magar mje smj nhi ata k akhir hum ISLAM ko COMPLETE CODE of LIFE
kehty hain to is per mutmain Q nhi hoty ?
Q ghair islami rasm o riwaj ko dunia dari ka naam de ker lazim smjte hain!
Baz Oqat ye cheez mje boht afsurda kr deti hai....
jab mere parda krny per mje taliban or
fazol rasoomat ki nafi per wahabi ka naam dia jata hai...
Mere azeez o aqarab or baz oqat friends b critisize kr jaty hain is per..
Per mje kisi ki parwa nhi q k hmara awwalen maqsad khuda ki pasand or raza hi hona chahiye.
Or is mamly per kisi se behas hergiz nhi krna chahiye..
Last edited by shazia rana; 01-03-2014 at 12:53 PM.
Thank you
stay blessed!
,,,ÙˆÛÛŒ تو سب سے Ø²ÛŒØ§Ø¯Û ÛÛ’ Ù†ÙÚ©ØªÛ Ú†Ùیں میرا
..!!!â€Ø¬Ùˆ Ù…Ùسکرا Ú©Û’ ÛÙ…ÛŒØ´Û Ú¯Ù„Û’ لگائے مجھے
Mubarakaan