haaN albatta mujhe apni aawaz buhut pasand hai ... /shy
Jo baateiN keh nahiiN sakta
unheiN maiN farz kerta hooN
chalo maiN farz kerta hooN
mujhe tum se mohababt hai !!!
walikum asalam
Merey ilawa puray jahan ko tag kar diya api
ye to Awaz aik bohaat bari nemat hay,jin logon k pas nai hay un ko daikh k dar mehsus hota hay aur ALLAH ka shukr ada karti hun k ALLAH ne mujhay awaz jaisi nemat se nawaza hay
Mujhay to meri awaz bohaat pasnd hay aur ye merey ilawa b sab ko pasnd hay
Mujhay clear aur dhemi dhemi c,thehrao wali awazein pasnd hain guys mai aur girls ki khankti hui,shokh si awazein
Last edited by Hidden words; 17-03-2014 at 03:59 AM.
ღ∞ ι ωιll αlωαуѕ ¢нσσѕє уσυ ∞ღ
Last edited by farida aslam; 17-03-2014 at 04:39 AM.
---------------- -----------------
-------------------------------------------------------------
some people are worth
melting for....!!!
..(olaf)..
------------------------------------------------------------------------
Walaikum Assalaam @naz;
Bohat hi khoobsurat baat aap nay samajhayii, waqayii humain iss baat ka khayaal hi nahin rehta kay jiss ki awaz ko hum bura keh rahay hain uss ka Khaaliq ALLAH SWT hii hay, INSHALLAH iss baat ka ainda poora poora khayaal rakhoon ga.
Awaaz waqayii ALLAH SWT ki naimatoon main say aik bohat baRii naimat, jiss tarah awaaz aik naimat hay ussi tarah Samayat bhi bohat baRii naimat hay... hum aksar teekhay lehjay, karakht awaaz waalay insaan say baat karna pasand nahin kartay, magar unn ki awaaz ki bhi aik alag value hay, jaisay aksar maidan-e-jang main bulund awaaz waalay ko bohat tarjeeh dee jaatii thii, jaisay Shabi-e-Rasool SAW Hazrat Qaaqa'a kay baaray main mashoor hay kay unhain 1000 shakhs ki awaaz kay barabar samjha jaata hay... means I man is equal to 1000!
Baharkaif, naturally INSAAN ko madham lehnjay, khush guftaar, khush kalaam aur khush aklaaq log hi pasand aatay hain, kiyonki awaaz ki talkhii insaan kay charachter ka ghalat impression paish kartii hay, jiss say log humain harsh, rude, bad-ikhlaaq, bad-tameez, jaisay alqabaat say nawaaz saktay hain....
Mujhay bhi shreen awaaz bohat pasand hain, aur ALHADULLILAH Pakistan main aksar khuwaateen ki awaaz shereen hi hotii hay, atleast jinn jinn say main mila hoon, baaki kuch maasi barkataa waalay lehjay ki bhi hoti hay jin say kuch khaas paala nahin paRa abhi tak mardoon main laRkay normal sa tone rakhtay hain, awaaz ki pitch kuch itni khaas nahin hoti tou yeh bohat normal sa lagta hay, albatta jab ko shereen awaaz waali 'Assalaam-O-alaikum' bhi karday tou aisa lagta hay jaisay kaanoon main 'ras ghull' gaya hoo aksar tou main salaam kay baad kia arz kia tha sunta hii nahin hoon, bas woh salaam hi itnii aahistay ahistay ras ras kar dil tak rasayii kar jaata hay