Dunya Ke Ae Musafir Manzil Teri Qabar Hai
Manzil Teri Qabar Hai, Manzil Teri Qabar Hai
Tai Kar Raha Hai Jo Tu, Do Din Ka Yeh Safar Hai
Manzil Teri Qabar Hai, Manzil Teri Qabar Hai
Dunya Ke Ae Musafir………
Jab Se Bani Hai Dunya, Lakhon Karoron Aaaye
Lakhon Karoron Aaaye
Baki Raha Na Koi, Mitti Main Sab Samaye
Mitti Main Sab Samaye
Iss Baat Ko Na Bhoolo, Sab Ka Yahi Hashar Hai
Manzil Teri Qabar Hai
Dunya Ke Ae Musafir………
Yeh Aali Shaan Bangle Kissi Kaam Ke Nahi Hain
Mehloon Main Sonay Wale, Mitti Main So Rahe Hain
Mitti Main So Rahe Hain
Do Gaz Zameen Ka Tukra Chota Sa Tera Ghar Hai
Manzil Teri Qabar Hai
Dunya Ke Ae Musafir………
Ankhon Se Tun Ne Apni Dekhe Kayi Janaze
Dekhe Kayi Janaze
Hathon Se Tu Ne Dafnaaye Kitne Murde
Dafnaaye Kitne Murde
Anjaam Se Tu Apne, Kiun Itna Tu Bekhabar Hai
Manzil Teri Qabar Hai
Dunya Ke Ae Musafir………
Mitti ke putle tujh ko Mitti mein he sumaana
Ek din he tu ke aaya Ek din he tujh ko jaana
Rehna nahi he tujh ko Jaari tera safar he
Manzil Teri Qabar Hai
Dunya Ke Ae Musafir Manzil Teri Qabar Hai
Manzil Teri Qabar Hai, Manzil Teri Qabar Hai
Tai Kar Raha Hai Jo Tu, Do Din Ka Yeh Safar Hai
Manzil Teri Qabar Hai, Manzil Teri Qabar Hai
Dunya Ke Ae Musafir………
Last edited by shaikh_samee; 18-03-2014 at 12:30 PM.
Main nay suna tou nahin magar aik aik line bohat ahtiyat say paRhii... waqayii yeh aisa haqeeqat hay kay hum iss kay baaray main na discuss karna chahtay hain naa apni mout ko yaad rakhna chahtay..... Marnay ki baat karna hi sab ko bura lagta hay, haalaankay sab iss haqeeqat say ba-khabar hain kay aik na aik dinnn sab ko iss duniya say rukhsat ho jaana hay.... magar duniya ki mohabbat yaad-e-mout per haawi ho jaatii hay..
May ALLAH SWT light and guide our ways AMEEN SUM AMEEN