Page 3 of 3 FirstFirst 123
Results 21 to 26 of 26

Thread: A'aala TALEEM YAAFTA

  1. #1
    Join Date
    Sep 2013
    Location
    Karachi, Pakistan
    Posts
    7,579
    Mentioned
    553 Post(s)
    Tagged
    5446 Thread(s)
    Rep Power
    1088797

    Default A'aala TALEEM YAAFTA

    Assalaam-o-alaikum SDians,

    Ek mukhtasar, aur ba-asar kahaani.... aap ki khidmat main paiysh-e-khidmat hay, aap kay comments ka intizaar rahay ga, shukriya!!

    ----

    Maghrib ki namaaz ada karnay kay baad aik shakhs say mulaaqaat hoyee....kaafi graceful personality thii unnki, mujhay unn say milna
    bohat acha laga, waisay bhi buzurgoon say milna, unn say baatain karna, unn kay tajarboon ko apni zindagi main baro-e-kaar laana, zindagi ko
    saleeqay say guzaarnay main madad gaar hota hay......

    Unn say mulaaqat kar kay acha laga, hum nay aik dosray ka ta'aruf karwaaya, meray poochnay per unhoon nay bataya kay woh paishay say
    civil engineer hain, magar ab retired ho gayay hain. Unn kay MASHALLAH 7 bachay hain jinn main 5 laRkay aur 2 laRikyan
    hain...... woh apnay bachoon ki taleem ki baatain kar raha thay... kay main nay apnay bachoon ko paRhaanay main koi kami nahin rakhii unn
    ko aala taleem dilwayii taakay woh apni zindagi main khudh-mukhtaar banaaain.... taleem ki ahmiyat ka sunn kar mujhay bohat khushi hoyee
    kay aaj kal logoo ko taleem ki ahimiyat ka andaaza ho raha hay.....aur woh apnay bachoon ko aala say aala taleem dilwaana chahtay hain taakay
    bachay maashray kay saath shaana-ba-shaana chal sakain.

    Meray poochnay per kay aap nay sab bachoon ko kia taleem dilwayii tou unnhoon nay kaha kay unn ka sab say baRa baita CIVIL ENGINEER hay
    Uss say chouta ELECTRICAL ENGINEER uss say chouta MECHANICAL ENGINEER uss say chouta baita ELECTRCIAL ENGINEER FOR POWER
    PLANTS uss say chouta baita CIVIL ARCHITECT.... mujhay bohat acha laga kay waalid bazat-e-khudh engineer thay aur apnay bachoon ko
    engineer ki taleem dilawayiiii Ab mera tajasus aur bhaR gaya kay apni laRkiyon ko kia taleem dilwayii hogi unhoon nay tou phir main nay azrah-e-tajsus poocha, baitiyioon nay kia kiya hay.....unhoon nay kaha kay meree dono baitiyan FA (High School) pass hain!!, main bhi chupp rehnay waloon main say kahan tha... main nay kaha kay laRkoo ko aala taleem haasil karwaa dii aur laRkiyon ko srif FA? Kehnay lagay kay bas woh laRkoo ko bahar bhaijna tha, ab laRkiyon ko kaisay bhaijtay aur waisay bhi inn kay shohar kay ghar jaayain gii, kia farq paRta!!!

    Mujhay inn ka jawaab sunn kar bohat AFSOOS hua......Yeh kisi JAHIL ki soch nahin thii aik aisay shakhs ki soch thii jo kay bazat-e-khudh CIVIL ENGINEER tha aur uss kay tamam laRkay bhi ENGINEERS thay.....main nay phir unn say poocha kay bachoon ki shadiyan waghaira hogayii hain, tou unhoon nay kaha haan sab laRkoo ki shaadiyan hogayii hain, bas dono betiyon kay liye rishtay dhoondh rahay hain, meray poochnay per kay laRkiyon ki umar kia hay tou unhoon nay kaha kay meri aik beti 27 saal ki aur dosri beti 36 saal ki!!!

    Bas phir kia tha, thoRii dair idhar udhar ki baat ki aur main wahan say uth gaya, mera zehan musalsal intishaar ka shikaar tha kay main inn buzurg say aaj kia seekh kar uth raha hoon, agar aisi PASST inn ki soch hay tou mujhay aisi soch nahin chayeh.... agar humaray maashray main aurat kay saath yeh NA-INSAAFI ho rahii hay tou aisa maashra main chouRnay kay liye tayaar hoon!!!

    Na jaanay kab ghar tak ka raasta tay hua kuch andaaza hi nahin laga, albatta ghar poohancha tou meri behan apnay coaching center say ghar aarahii thii, main rastay main uss kay saath chalnay laga aur ussay mohabbat bharii nazroon say dekha aur duwayain dee kay baita 'PaRhayii' dehaan say aur dil laga kar karna, aap ko bhi apnay BHAI ki tarah MASTER tou karna hii hay, agar uss say aagay bhi paRhna ho tou biljhijhak kehna kiyonki mujhay yaqeen hay humari mohabbat, aur humari tarbiyat merii behan ko humesha mehfooz rakhay giii!!

    Mera sawaal unn tamam bhaiyon say hay jo apni behnoon kay saath yeh na-insaafi kaisay bardasht kartay hain....kiyonki humaray khaandan main srif meri behan hay jo MASTERS ki taleem haasil kar rahii hay aur yeh main hi jaanta hoon kay mujhay iss kay liye kitni jid-o-jahd karnii pariii baaki laRkiya FA tak hi paRh lain tou unhain AALA TALEEM YAAFTA ka khitaab dia jaata tha.......magar mujhay khushi hay kay aaj humaray KHANDAN waalon ki SOCH badalnay main meri yeh chouti sii kaawish bohat kaaraamad saabit hoyee hay aur woh bhi apni laRkiyon ko aagay paRhanay kay
    baaray main soch rahay hain!!!

    -----

    May ALLAH SWT Light and guide our ways AMEEN

  2. #21
    Join Date
    May 2013
    Location
    pakistan
    Posts
    5,719
    Mentioned
    128 Post(s)
    Tagged
    7184 Thread(s)
    Rep Power
    644262

    Default

    Quote Originally Posted by thefire1 View Post
    Jee PAEN tou aap hay hii

    bohat achi baat hay, aur bohat khushi kii bhii kay bohat see families ab inn baatoon ko itni tarjeeh nahin daitiii... magar again majority ka change hona zaroori hay.... and soon they understand this, better it is for them and our society.

    ALLAH SWT aap ki tamam behnoon aur bhai ko khusiyon say nawazay, khush rahyeh
    nwazish or mujhe larrkion ko parrhane se aik waqya b yad a gaya k koi bohat educated khatoon thin tu un se poocha gya ko ap k gaon men tu larrkon ko larrkion se zada parrhaya jata hai tu phir ap apne bhai se zada kese parrh gain tu unhon ne kaha k hamare gaon men high skool men jane k liye aik pul se guzarna parrta tha jo k bohat kamzor tha tu meri maan ne bhai ko dar se na bheja kerna jab k mujhe koi rok tok nai thi isliye men zada parrh gai.
    badakhuwar2 zps199b7191 - A'aala TALEEM YAAFTA

  3. #22
    Join Date
    May 2013
    Location
    pakistan
    Posts
    5,719
    Mentioned
    128 Post(s)
    Tagged
    7184 Thread(s)
    Rep Power
    644262

    Default

    Quote Originally Posted by sannan View Post



    Bansuri naheen Chusni kay munh
    nai chusni haseen hoti hai
    badakhuwar2 zps199b7191 - A'aala TALEEM YAAFTA

  4. #23
    Join Date
    Sep 2013
    Location
    Desert
    Posts
    1,138
    Mentioned
    42 Post(s)
    Tagged
    1957 Thread(s)
    Rep Power
    13

    Default

    Quote Originally Posted by shazia rana View Post

    nai chusni haseen hoti hai
    main apni aik ghum naak aap baiti share karnay wala hoon leekan tum parh kar roona mat

  5. #24
    Join Date
    Sep 2013
    Location
    Karachi, Pakistan
    Posts
    7,579
    Mentioned
    553 Post(s)
    Tagged
    5446 Thread(s)
    Rep Power
    1088797

    Default

    Ajeeb baat hay kay MAA ko laRkii ka dar nahin tha laRkay ka tha, aur rouk touk laRki per nahin thii..... Khair shukriya yeh baat bhi apni yadaashat main shaamil kar laita hoon
    Quote Originally Posted by shazia rana View Post

    nwazish or mujhe larrkion ko parrhane se aik waqya b yad a gaya k koi bohat educated khatoon thin tu un se poocha gya ko ap k gaon men tu larrkon ko larrkion se zada parrhaya jata hai tu phir ap apne bhai se zada kese parrh gain tu unhon ne kaha k hamare gaon men high skool men jane k liye aik pul se guzarna parrta tha jo k bohat kamzor tha tu meri maan ne bhai ko dar se na bheja kerna jab k mujhe koi rok tok nai thi isliye men zada parrh gai.

  6. #25
    Join Date
    May 2013
    Location
    pakistan
    Posts
    5,719
    Mentioned
    128 Post(s)
    Tagged
    7184 Thread(s)
    Rep Power
    644262

    Default

    Quote Originally Posted by sannan View Post


    main apni aik ghum naak aap baiti share karnay wala hoon leekan tum parh kar roona mat
    ap or ghamnak
    or ye ghalat fehmi nikaal do k koi roye ga gudgudian nikaal k hasane wale
    badakhuwar2 zps199b7191 - A'aala TALEEM YAAFTA

  7. #26
    Join Date
    Sep 2013
    Location
    Desert
    Posts
    1,138
    Mentioned
    42 Post(s)
    Tagged
    1957 Thread(s)
    Rep Power
    13

    Default

    Quote Originally Posted by shazia rana View Post

    ap or ghamnak
    or ye ghalat fehmi nikaal do k koi roye ga gudgudian nikaal k hasane wale

Page 3 of 3 FirstFirst 123

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •