Assalaam-o-alaikum SDians,
Ek mukhtasar, aur ba-asar kahaani.... aap ki khidmat main paiysh-e-khidmat hay, aap kay comments ka intizaar rahay ga, shukriya!!
----
Maghrib ki namaaz ada karnay kay baad aik shakhs say mulaaqaat hoyee....kaafi graceful personality thii unnki, mujhay unn say milna
bohat acha laga, waisay bhi buzurgoon say milna, unn say baatain karna, unn kay tajarboon ko apni zindagi main baro-e-kaar laana, zindagi ko
saleeqay say guzaarnay main madad gaar hota hay......
Unn say mulaaqat kar kay acha laga, hum nay aik dosray ka ta'aruf karwaaya, meray poochnay per unhoon nay bataya kay woh paishay say
civil engineer hain, magar ab retired ho gayay hain. Unn kay MASHALLAH 7 bachay hain jinn main 5 laRkay aur 2 laRikyan
hain...... woh apnay bachoon ki taleem ki baatain kar raha thay... kay main nay apnay bachoon ko paRhaanay main koi kami nahin rakhii unn
ko aala taleem dilwayii taakay woh apni zindagi main khudh-mukhtaar banaaain.... taleem ki ahmiyat ka sunn kar mujhay bohat khushi hoyee
kay aaj kal logoo ko taleem ki ahimiyat ka andaaza ho raha hay.....aur woh apnay bachoon ko aala say aala taleem dilwaana chahtay hain taakay
bachay maashray kay saath shaana-ba-shaana chal sakain.
Meray poochnay per kay aap nay sab bachoon ko kia taleem dilwayii tou unnhoon nay kaha kay unn ka sab say baRa baita CIVIL ENGINEER hay
Uss say chouta ELECTRICAL ENGINEER uss say chouta MECHANICAL ENGINEER uss say chouta baita ELECTRCIAL ENGINEER FOR POWER
PLANTS uss say chouta baita CIVIL ARCHITECT.... mujhay bohat acha laga kay waalid bazat-e-khudh engineer thay aur apnay bachoon ko
engineer ki taleem dilawayiiii Ab mera tajasus aur bhaR gaya kay apni laRkiyon ko kia taleem dilwayii hogi unhoon nay tou phir main nay azrah-e-tajsus poocha, baitiyioon nay kia kiya hay.....unhoon nay kaha kay meree dono baitiyan FA (High School) pass hain!!, main bhi chupp rehnay waloon main say kahan tha... main nay kaha kay laRkoo ko aala taleem haasil karwaa dii aur laRkiyon ko srif FA? Kehnay lagay kay bas woh laRkoo ko bahar bhaijna tha, ab laRkiyon ko kaisay bhaijtay aur waisay bhi inn kay shohar kay ghar jaayain gii, kia farq paRta!!!
Mujhay inn ka jawaab sunn kar bohat AFSOOS hua......Yeh kisi JAHIL ki soch nahin thii aik aisay shakhs ki soch thii jo kay bazat-e-khudh CIVIL ENGINEER tha aur uss kay tamam laRkay bhi ENGINEERS thay.....main nay phir unn say poocha kay bachoon ki shadiyan waghaira hogayii hain, tou unhoon nay kaha haan sab laRkoo ki shaadiyan hogayii hain, bas dono betiyon kay liye rishtay dhoondh rahay hain, meray poochnay per kay laRkiyon ki umar kia hay tou unhoon nay kaha kay meri aik beti 27 saal ki aur dosri beti 36 saal ki!!!
Bas phir kia tha, thoRii dair idhar udhar ki baat ki aur main wahan say uth gaya, mera zehan musalsal intishaar ka shikaar tha kay main inn buzurg say aaj kia seekh kar uth raha hoon, agar aisi PASST inn ki soch hay tou mujhay aisi soch nahin chayeh.... agar humaray maashray main aurat kay saath yeh NA-INSAAFI ho rahii hay tou aisa maashra main chouRnay kay liye tayaar hoon!!!
Na jaanay kab ghar tak ka raasta tay hua kuch andaaza hi nahin laga, albatta ghar poohancha tou meri behan apnay coaching center say ghar aarahii thii, main rastay main uss kay saath chalnay laga aur ussay mohabbat bharii nazroon say dekha aur duwayain dee kay baita 'PaRhayii' dehaan say aur dil laga kar karna, aap ko bhi apnay BHAI ki tarah MASTER tou karna hii hay, agar uss say aagay bhi paRhna ho tou biljhijhak kehna kiyonki mujhay yaqeen hay humari mohabbat, aur humari tarbiyat merii behan ko humesha mehfooz rakhay giii!!
Mera sawaal unn tamam bhaiyon say hay jo apni behnoon kay saath yeh na-insaafi kaisay bardasht kartay hain....kiyonki humaray khaandan main srif meri behan hay jo MASTERS ki taleem haasil kar rahii hay aur yeh main hi jaanta hoon kay mujhay iss kay liye kitni jid-o-jahd karnii pariii baaki laRkiya FA tak hi paRh lain tou unhain AALA TALEEM YAAFTA ka khitaab dia jaata tha.......magar mujhay khushi hay kay aaj humaray KHANDAN waalon ki SOCH badalnay main meri yeh chouti sii kaawish bohat kaaraamad saabit hoyee hay aur woh bhi apni laRkiyon ko aagay paRhanay kay
baaray main soch rahay hain!!!
-----
May ALLAH SWT Light and guide our ways AMEEN
Wa Alaikum Aslam !
,,,ÙˆÛÛŒ تو سب سے Ø²ÛŒØ§Ø¯Û ÛÛ’ Ù†ÙÚ©ØªÛ Ú†Ùیں میرا
..!!!â€Ø¬Ùˆ Ù…Ùسکرا Ú©Û’ ÛÙ…ÛŒØ´Û Ú¯Ù„Û’ لگائے مجھے
Wel !
hmari family mai b aise anasar paye jaty hain khas tor pe maternal uncles per humain rokne mai nakam rahe Q k hum swal uthaty hain Q ?
hmain rokny k liye dalayel darkar hain...... jo rights islam ne diye wo hum se koi nhi cheen skta !!!
rahi baat zehniyat ki to ........ majority of males in our society are narrow minded and like dominancy!
they can never be changed so useless to say anything.
,,,ÙˆÛÛŒ تو سب سے Ø²ÛŒØ§Ø¯Û ÛÛ’ Ù†ÙÚ©ØªÛ Ú†Ùیں میرا
..!!!â€Ø¬Ùˆ Ù…Ùسکرا Ú©Û’ ÛÙ…ÛŒØ´Û Ú¯Ù„Û’ لگائے مجھے
Bohat achii soch hay... we must fight for our right..
baaqi aap ki baat say itifaaq rakhta hoon kay most of the men in our society are dominant..... but if you could bring the change in your family (men and women alike) that is enough... Our first and prime responsibility is to educate our own family FIRST..... once this is done, you will automatically see the change in the society...!
May ALLAH SWT light and guide our ways AMEEN