walaikum assalam
Spain ki sair hogyi free main
bht informative thread hai... lakin afsos is bat pe arha hai k itny Qadeem Masjidon ko Churches main tabdeel kardya gya...
Asssalaam-O-alaikum
Yeh rahii tasweerain meray SPAIN kay safar kii... yaqeen karain yeh safar bohat hi TAKLEEFDAY tha..... iss safar kay douran kitnay hi city/town aayay jahan muslamaanon ki hukumat qayim thii... yeh saaray khoobsurat manaazir dekh kar aankhay 'purnam' hogayii thiii..
Yeh raha uss BUS TRAVEL ka zikar jo main nay apni tehreer 'Bila Unwaan' main haaal hi main kia hay. Yeh tasweerain BUS main say lii hain.
Yeh JABL-E-TARIQ ki tasweer hay, jiss per Hazrat TARIQ BIN ZIYAD RH nay apni aur apnay saathiyon ki kashtiyan jala dii thii, yeh JABAL aaj bhi itna ghanna hay kay iss per rasayii kay liye CABLE CAR ka istimaal hota hay, jab kay MUSLAMANOON ka QAFLAY nay iss ko IMAN KI QUWAT aur BULAND HOSLOON ki waja say naa srif sar kia, balkay MUSLIM chanday SPAIN(EUROPE) ki sarzameen per ghaR diye!
Pehlay har CITY ki aik dewaar hotii thii aur city main daakhil honay kay liye GATE... yeh GATE hay CORDOBA main daakhlay ka, gate kay peechay aap ko Masjid-e-Qurtaba ka pichla hissa seedhay haath ki taraf nazar aaraha hay. Tasweer main ultay haath ki taraf aik tareekhi building hay jahan mulsim scholars ka madrasa tha aur deeni aur scientific reaserch ki jaati thii, aaj kal issay museum main aur Masjid-e-Qurtaba ko Cathedral (Church) main convert kar dia gaya hay!
Yeh tasweer Grenada ki aik gali main ghoumatay howay lee thii jiss main MUSLIM aur SPANISH architectural ki misaal dikhayii dii hay
Dikhnay main tou yeh aaik aam see tasweer hay, magar iss ki signifacant boaht hay... iss GATE kay upper agar aap ghour say dekhain tou LOHAY kay WIGHTS lagay huway hain.... inn weights ko yahan per batour-e-ibrat latkaya gaya hay... MUSLIM government kii inspection kay douran weight kay wazan main kami baishi karnay waaloon kay naam inn weight per print karwa kar yahan latka diye jaatay thay...taakay log unhain zaleel aur ruswa karain aur dosray aisa karnay say baaz rahain.
Yeh aik masjid hay jisay church main tabdeel kardiya gaya hay, aisii hazaroon masajid SPAIN main hain..
Masjid ko pehchanay ka sab say authentic tareeqa yeh Qabar numa structure hay.. yeh har masjid kay bahar hota tha, jahan muslamaan wuzoo kia kartay thay, issay bricks say cover kardiya gaya hay...
Baaqi tasweerain jinn main mera visit to BARCELONA and GIRONA ki tasweerain bhi jald share karoonga, khush rahyeh.
FI amaan ALLAH
zabardast photography hai
کہاں اتنی سزائیں تھیں بھلا اس زندگانی میں
ہزاروں گھر ہوئے روشن جو میرا دل جلا محسنؔ
walaikumusalam
afsos to me ko b horaha hai pics achi li hain /up
walikum asalam
zbrdast,maza aa gaya images daikh k aur in k baray mai informations parh k
keep sharing
ღ∞ ι ωιll αlωαуѕ ¢нσσѕє уσυ ∞ღ
v nice pictures n informative stuff...Tariq bin zyad wali jagah tu bas /up
Assalaam-O-alaikum
Aap sab ahbab ka bohat bohat shukriya @LoViNg IrFaN; @*jamshed*; @Zindagi; @Vampire; @Hidden words; @shazia rana;
Aik aur information kay jiss tasweer main, main nay WEIGHTS ka zikar kia hay uss tasweer main aik Electrical SAGEWAY hay, isi SAGEWAY per khaRay hokar main nay pooray GRENADA ki patli patli galiyon ka safar kia hay.... kiyonki Grenada mountain per waqaiya hay tou yahan per upper jaana PAYDAL bohat muskhil hay aur tiring bhi isi liye yeh SAGEWAY ka tour arrange kia tha aik Spanish toursit female guide kay saath jinhon nay mujhay iss ko chalan sikhaaya aur meray saath saath safar kia.... iss ko chalaanay muskhil nahin hay magar iss per balance rakhna bohat zaroori hay yaani agar aap center main nahin khaRay rahay tou peechay gir jaayain gain aur agar ziyada wazan aagay ki taraf kia tou aagay gir jaayain gain... ALHAMDULLIALH main aik baar bhi nahin gira aur bohat ENJOY kia iss ride per... aap youtube main dekh saktain hain some videos about SAGEWAY
zbrdst janab......
Thanks Dolly.