Asssalaam-O-alaikum
Yeh rahii tasweerain meray SPAIN kay safar kii... yaqeen karain yeh safar bohat hi TAKLEEFDAY tha..... iss safar kay douran kitnay hi city/town aayay jahan muslamaanon ki hukumat qayim thii... yeh saaray khoobsurat manaazir dekh kar aankhay 'purnam' hogayii thiii..
Yeh raha uss BUS TRAVEL ka zikar jo main nay apni tehreer 'Bila Unwaan' main haaal hi main kia hay. Yeh tasweerain BUS main say lii hain.
Yeh JABL-E-TARIQ ki tasweer hay, jiss per Hazrat TARIQ BIN ZIYAD RH nay apni aur apnay saathiyon ki kashtiyan jala dii thii, yeh JABAL aaj bhi itna ghanna hay kay iss per rasayii kay liye CABLE CAR ka istimaal hota hay, jab kay MUSLAMANOON ka QAFLAY nay iss ko IMAN KI QUWAT aur BULAND HOSLOON ki waja say naa srif sar kia, balkay MUSLIM chanday SPAIN(EUROPE) ki sarzameen per ghaR diye!
Pehlay har CITY ki aik dewaar hotii thii aur city main daakhil honay kay liye GATE... yeh GATE hay CORDOBA main daakhlay ka, gate kay peechay aap ko Masjid-e-Qurtaba ka pichla hissa seedhay haath ki taraf nazar aaraha hay. Tasweer main ultay haath ki taraf aik tareekhi building hay jahan mulsim scholars ka madrasa tha aur deeni aur scientific reaserch ki jaati thii, aaj kal issay museum main aur Masjid-e-Qurtaba ko Cathedral (Church) main convert kar dia gaya hay!
Yeh tasweer Grenada ki aik gali main ghoumatay howay lee thii jiss main MUSLIM aur SPANISH architectural ki misaal dikhayii dii hay
Dikhnay main tou yeh aaik aam see tasweer hay, magar iss ki signifacant boaht hay... iss GATE kay upper agar aap ghour say dekhain tou LOHAY kay WIGHTS lagay huway hain.... inn weights ko yahan per batour-e-ibrat latkaya gaya hay... MUSLIM government kii inspection kay douran weight kay wazan main kami baishi karnay waaloon kay naam inn weight per print karwa kar yahan latka diye jaatay thay...taakay log unhain zaleel aur ruswa karain aur dosray aisa karnay say baaz rahain.
Yeh aik masjid hay jisay church main tabdeel kardiya gaya hay, aisii hazaroon masajid SPAIN main hain..
Masjid ko pehchanay ka sab say authentic tareeqa yeh Qabar numa structure hay.. yeh har masjid kay bahar hota tha, jahan muslamaan wuzoo kia kartay thay, issay bricks say cover kardiya gaya hay...
Baaqi tasweerain jinn main mera visit to BARCELONA and GIRONA ki tasweerain bhi jald share karoonga, khush rahyeh.
FI amaan ALLAH