Page 1 of 3 123 LastLast
Results 1 to 10 of 29

Thread: Writer's club compitition april...

  1. #1
    Join Date
    May 2013
    Location
    pakistan
    Posts
    5,719
    Mentioned
    128 Post(s)
    Tagged
    7184 Thread(s)
    Rep Power
    644262

    Default Writer's club compitition april...

    asslam-o-alaikum

    punjabi ka aik muhawera hai k ai basant te pala udant

    per is bar basant tu ai per pala(sardi) udant nai hua

    tu is bar ka mozoo b basant he hai...ap logon ne is khubsurat

    tehwar pe chand lines likhni hen,mere pas b agar time hua
    tu zarur hazri dun gi.

    Rules:

    Ek member ek hi baar share karay ga
    Same aur edit sharing accept nhi hogi
    Last date 20/4/2014 hai
    Winner 50% poll aur 50% admins decide karen gy.




    badakhuwar2 zps199b7191 - Writer's club compitition april...

  2. #2
    Join Date
    Sep 2013
    Location
    Karachi, Pakistan
    Posts
    7,579
    Mentioned
    553 Post(s)
    Tagged
    5446 Thread(s)
    Rep Power
    1088797

    Default

    Walaikum Assalaam

    Main apni tehreer likh kar aap ko disappoint nahin karna chahta @shazia rana; main BASANT ko khoobsurat tehwaar nahin samjhta.... yeh bhi April Fool ki tarah aik aisa tehwaar jo humarii saqaafat main 'zabardastii' daaakhil kardia gaya hay, iss ka KHOBSURAT hona yaa TEHWAAR hona main tasleem hi nahin karta..... iss liye main iss competition main shareek nahin honga kiyonki agar main likhoon ga tou iss kay AGAINST main likhoon ga iss ki favor main nahin.

    I am sure you wont mind my comments, I am being straightforward in my communication and request you to take them on positive sense.

    aap ka paen

  3. #3
    Join Date
    Feb 2008
    Location
    Karachi, Pakistan, Pakistan
    Posts
    126,450
    Mentioned
    898 Post(s)
    Tagged
    10965 Thread(s)
    Rep Power
    21474979

    Default

    thefire ap ki apni marzi hia dil chahey kaise b likhey...app ne tehrer likhni hia iska matlab yeh nahi hia k sub app ke khilaf bolne lag jaye gai ...yeh ap ki apni marzi ap ki apni thoughts hoti hian..is main dosrey ka koi amal dakal nahi hia..

  4. #4
    Join Date
    Sep 2013
    Location
    Karachi, Pakistan
    Posts
    7,579
    Mentioned
    553 Post(s)
    Tagged
    5446 Thread(s)
    Rep Power
    1088797

    Default

    Bohat bohat shukriya, main apni tehreer kay saaath jald hi haazir honga
    Quote Originally Posted by naz View Post
    thefire ap ki apni marzi hia dil chahey kaise b likhey...app ne tehrer likhni hia iska matlab yeh nahi hia k sub app ke khilaf bolne lag jaye gai ...yeh ap ki apni marzi ap ki apni thoughts hoti hian..is main dosrey ka koi amal dakal nahi hia..

  5. #5
    Join Date
    May 2013
    Location
    pakistan
    Posts
    5,719
    Mentioned
    128 Post(s)
    Tagged
    7184 Thread(s)
    Rep Power
    644262

    Default

    Quote Originally Posted by thefire1 View Post
    Walaikum Assalaam

    Main apni tehreer likh kar aap ko disappoint nahin karna chahta @shazia rana; main BASANT ko khoobsurat tehwaar nahin samjhta.... yeh bhi April Fool ki tarah aik aisa tehwaar jo humarii saqaafat main 'zabardastii' daaakhil kardia gaya hay, iss ka KHOBSURAT hona yaa TEHWAAR hona main tasleem hi nahin karta..... iss liye main iss competition main shareek nahin honga kiyonki agar main likhoon ga tou iss kay AGAINST main likhoon ga iss ki favor main nahin.

    I am sure you wont mind my comments, I am being straightforward in my communication and request you to take them on positive sense.

    aap ka paen
    thnx for giving me such honour
    paen is khaksaar ne yahan kahin b gustakhi nai ki k is topic ki hamayat men kuch likhen or dusra ye k baja fermaya k ise tehwar ka nam dena nai banta or ise zabardasti hamare culture men thonsa gya hai tu mehandi b hamare culture men kahan hai??or agar guddi or dor ko minus ker dia jaye tu ise tehwar kehne men koi qabahat nhi
    badakhuwar2 zps199b7191 - Writer's club compitition april...

  6. #6
    Join Date
    Sep 2013
    Location
    Karachi, Pakistan
    Posts
    7,579
    Mentioned
    553 Post(s)
    Tagged
    5446 Thread(s)
    Rep Power
    1088797

    Default

    Thiiik hay Paen.... aap ki soch bhi thiik hay... barhaal main iss per zaroor likhoon ga, aur jald hi post karoonga, aap kay start kiye huway thread per main comment na karoon yaa likhoon nahin, aisi meri majaal nahin
    Quote Originally Posted by shazia rana View Post

    thnx for giving me such honour
    paen is khaksaar ne yahan kahin b gustakhi nai ki k is topic ki hamayat men kuch likhen or dusra ye k baja fermaya k ise tehwar ka nam dena nai banta or ise zabardasti hamare culture men thonsa gya hai tu mehandi b hamare culture men kahan hai??or agar guddi or dor ko minus ker dia jaye tu ise tehwar kehne men koi qabahat nhi

  7. #7
    Join Date
    Feb 2008
    Location
    Karachi, Pakistan, Pakistan
    Posts
    126,450
    Mentioned
    898 Post(s)
    Tagged
    10965 Thread(s)
    Rep Power
    21474979

    Default

    mouzo dekh ker mujhey bhot ajeeb laga jab basant ko tehwarr or wo bhi khoubsurat tehwar kha gaya..yeh wo he baat hogaye ke app valentines day ko nahi mantey or wo bhi hamare culture main shamil hochuka hai leken bhot se log usko manne ko tiyar nahi hian or wo aik yahodi ka hia tu uske khilaf tu reliyan tak nikali jati hain...or basant chonkey khud ka banaya hua hia isko manana lazmi thehra...baat tu wo he hogaye ke waha ap yahodi k khilaf hia or aik chez jo k achi nahi hai ap uske khilaf naih hian...mujhe basant nahi pasand..aik tu us main jani nuqsan ka bhot khatra rehta hai...dosra paise ka behad zaiya hota hia ...wo he paisa kisi achi jaga laga diya jaye tu koi qabahat na ho ...leken maine dekha hai Lahore main khas tor per basant tu aise manaya jata hai jaise eid ho or her bar he koi na koi jani nuqsan hota he hai ..jaise ke bike per jane walon ki gardan per dor phir gaye ...koi bacha gir gaya chatt se ..aise he bhot se waqiata paish atey rehtey hain...jo buri chez hai jaise ke sub valentines day ko bura kehtye hain or apne pass b naih ane detey tu mera khayal hai sub ko basant k khilaf b waise he narey bazi karni chahye aik chez buri hai tu buri hai...usko bura he samjhna chahye...waha ap ko apna deen kio nahi yaad araha ...leken yeh b haqiqat hai hamare is mashrey ki k deen b sub ka apni apni pasand ka bun gaya hia...jis ka jaise dil chahta hai deen ko chalata hai...!!!

    Mukhtasir yeh k basant khatam honi chahye hamare is mashrey se...!!!

  8. #8
    Join Date
    May 2013
    Location
    pakistan
    Posts
    5,719
    Mentioned
    128 Post(s)
    Tagged
    7184 Thread(s)
    Rep Power
    644262

    Default

    Quote Originally Posted by thefire1 View Post
    Thiiik hay Paen.... aap ki soch bhi thiik hay... barhaal main iss per zaroor likhoon ga, aur jald hi post karoonga, aap kay start kiye huway thread per main comment na karoon yaa likhoon nahin, aisi meri majaal nahin
    100 bismillah u are more than welcome to write any thin
    badakhuwar2 zps199b7191 - Writer's club compitition april...

  9. #9
    Join Date
    Sep 2013
    Location
    Karachi, Pakistan
    Posts
    7,579
    Mentioned
    553 Post(s)
    Tagged
    5446 Thread(s)
    Rep Power
    1088797

    Default

    Assalaam-O-alikum

    Main apni TEHREER ko aik 'mukalmay' ki shaqal day raha hoon, aur iss main meri aur meray dost kay darmayan guftagoo bayan kar raha hoon jo kay BASANT kay baaray main hay. Iss tehreer ki TAWALAT per main aap sab say paisghii maazrat chahta hoon, magar bohat say facts ko cover karnay kay liye main iss say kam alfaaz istimaal nahin kar saka, aap say guzaarish hay kay issay ghour say paRhay aur agar aap ko iss main koi acha message milay tou mujh khaaksaar ko apni duwaoon main yaad rakhain. shukria.
    BASANAT, Humari SAQAAFAT aur HUM
    Aaj Sunday ka dinn tha, tou soucha apnay dost Yasir say mil aayoon, bohat dinn huway uss say mulaaqat kiye howay.. waisay bhi aaj kal zindagi ko jeenay say ziyada iss ko nibhaanay ki jad-o-jehd main apnay aap say bhi milnay ki fursat nahin miltii.

    Yasir ko khanay ka bohat shouq tha, tou hum nay Lahore ki food street per Cocoo's per milnay ka plan banaya jo kay androon shehar Lahore main, Fort road per waqiya hay.... LAHORE main nashta hoo aur Cocoo's main na jaayay tou 'Lahore Jamiya nahin'.

    Cocoo's ka naam sunn kar Yasir kay munn main bhi paani aagaya aur hum dono muqarara waqt per wahan poohanch gayay.

    Ali: Aur suna bhai, kahan hota hay aaj kal, kuch ata pata nahin hay tumhara.

    Yasir: Wah bhai, gayib tum ho aur ilzaam mujh per.


    Ali: ChoR yaar yeh shikway shikayatain baad main kar lain, mujhay bohat bhook lagii hay, jaldi say order day dain.


    Yasir: Haan haan pata, tera dimagh uss waqt tak kaam nahin karta jab tak teray pait main 2 - 4 niwaalay naa jaayain.

    Yeh keh kar uss nay hasb-e-mamool zour say qheqaha lagaya, yaqeenan humaray saath waali table waalay shakhs ko heart attach ho jaana tha, khair uss nay waiter ko awaaz dii aur woh jaldi say 'Hunn aaya paa jee' kehta hoon lapak kar humari table per aagaya.

    Waiter: Jee paii jee, kee laawaan


    Yasir: Nashta-e-Foulad lay aa, aik meray liye tay haik babu jee kay liye


    Ali: Yaar yeh nashta-e-foulaad kia hay.


    Yasir nay hasb-e-mamool zour ka qehqaha lagaya aur kehnay laga


    Yasir: Bhai kuch nahin DESI GHEE main bannay PARATHAY, Asli ghee main banay CHANNAY, Saath main 3-4 Halwa poori, aik plate BaRay kay PAYAY saath main 2 adad NAAN, 2 adad baRay baRay Lassi kay Glass aur aakhir main aik baRa piyala Doodh ka jiss main 250Gram Jalaybiyan.....


    Ali: Bhai yeh insaan hi khaatay hain, aur kitnay logo kay liye mangaya hay.


    Yasir: Khair hay yaar, main nay 2 naashtay mangwayain hain, agar tera bach jaata hay tou main kha loon ga

    aur phir uss ka riywaatii qeqaha!

    Ali: Khair choR yaar, suna aaj kal kia masroofiyat hain.


    Yasir: Bas 'Tayaariyan' zour-o-shour say jaarii hain.

    Mujhay baRii khushi hoyee kay aaj bhi MUSLAMANOON kay dil main itni aqeedat hay aur ahtiram hay RAMADAN KAREEM kay jaisay Shahba-e-Karam RZ 6 mahinay pehlay say hi RAMADAN ka intizaar karna shuroo hojaatay thay aur ALLAH SWT say duaa kartay thay kay اللهم بلغني رمضان tou main nay azrah-e-tajasus poocha

    Ali: Kia baat hay bhai, RAMDAN ki tayariyan abhii say.


    uss nay mujhay aisay dekha jaisay main apnay hosh-o-hawas main baat nahin kar raha aur bola


    Yasir: Nahin bhaii, Ramadan ki tayariyan abhii say abhi tou 4 mahinay paRay hain, main tou BASANAT ki tayyarii kar raha hoon.


    Ali: BASANAT kay liye tayyari ki kia zaroorat hay?


    Yasir: Bhai aaj kal 'Chemical Dour' kay saath agar patang naa uRayii tou maza hi kia hay.

    Ali: Yaar iss say tou kitnay log maray hain, kia tujhay iss baat ka ilm hay kay 1990 main iss chemical dour ka isitmaal aam hua tha, uss say pehlay log saaday dhaagay say patang uRaatay thay aur 1992 say 2008 tak kay figures kay mutaabik inn chemical dours ki waja say 80 log luqma-e-ajal bann gayay hain aur tuu hay kay yeh bawaqoofi kar raha hay.

    Merii baat kay douran hi waiter nashta table per saja raha tha.


    Yasir: Chadd yaar, Nashta kar.


    Main apni baat jaari rakhtay huway


    Ali: Aur tujkhay iss baat ka ilm hay kay nahin kay Lahore kay High Court kay Chief Justice Janab Khuwaja Shareef nay aur Supreme Court kay Chief Justice Janab Iftikhaar Ahmed Choudrii nay 2008 main Lahore main Basant manana aur chemical dour say patag uRana BAN kar rakha hay aur unhoon nay yeh kaha tha kay 'Its not Kite flying its killing flying'.


    Yasir: Chadd yaar, kiyon naashtay ka maza kir-kira kar raha hay, yeh qanoon banaanay waalay khudh hi qanoon touRtay hain.


    Ali: Tu BASANT kay baaray main kia jaanta hay.


    Yasir: BASANAT Lahore ka TAREEKHI fesitval hay jahan munday, kuRiyan music per dance kartay hain, halla kartay hain, patang uRaatay hain, patang kay paichoon kay saath saath nazroon kay paich bhi lagtay hain aur moujaan hi moujaan

    Uss nay phir apnay riwaayatii qheqhay say apni baat ko full stop kia.

    Ali: Tuu iss tareekh keh raha hay, kia tuu iss tareekh say waaqif hay?

    Yasir: Haan yeh tou bohat puraana tehwaar hay aur humaray buzurgoon say suna hay kay ' ' kay sardii kay jaatay hii mousam-e-bahar ki amad per iss tehwaar ko manaya jaata hay tou iss main burayii hi kia hay?

    Ali: Mujhay afsoos hay kay humaray buzurg converted muslims hain aur apnay mazhab main aur culture main bohat see aisi baatain bhi shamil kar lii jiss ka 'Islami saqaafat' say koi taaluq nahin, khair main yahan deen kay hawaalay say koi baat nahin karna chahta, magar main social aur historical fact teray saamnay rakh raha hoon, aagay samajhna na samajhna teray ikhtiyar main hay, kia tujhay pata hay kay BASANT ko urooj uss dour main mila jab 'Takht-e-Lahore' per Mahraja Ranjeet Singh ka raj tha jiss nay Islam ki sab say PAK JAGA yaani Masjid (Badshahi Masjid) main apnay ghouroon (Horse Stable) ka astable banaya hua tha.

    Main nay apnii baat jaari rakhtay huway kaha...

    Aaj afsoos ki baat hay kay Shareef gharaanay ki khuwateen bhi music ki dhunn main dance kartii hoyee mashghool nazar aatii hain aur main nay khudh apnii ankhoon say aik shareef gharanay ki khwateen ko 'Chappa Chappa CharKha Chalay' gaanay ki dhunn main mast hotay dekha hay.

    Meri nazar main yeh koi Social tehwaar nahin hay, kiyonki iss say humaray maashray main buraiyon kay ilaawa kuch haasil nahin hota.

    Lahore kay tamam 4 aur 5 stars hotel kay aagay traffic jam hota hay kiyonki wahan bayshumar tadaad main Alcohol khareedi jaati hay aur khareednay waalon main ziyada tar taadad khuwateen ki hoti hay aur aik figure kay hisab say srif aur srif Lahore aur Qusoor main taqreeban 5 Lakh sharaab ki bottles biktii hain.

    Uss kay ilaawa 'Call Girl' inn dinoo main bohat hi aam tour per nazar aatii hain, taakay fahashi ki numaish karain aur jawaan aur rayis zaadoon ka shikaar karain.

    Yasir meri baat bohat dehaan say sunn raha tha aur uss ki nazraain neechi thi jaisay kisi ko apnay gunah kay iqraar per sharmindagii ka saamna hoo. main apni baat jaari rakhtay huway....


    Ali: Badqismatii iss baat ki bhi hay kay Mian Yusuf Salah-u-ddin jo kay ALLAMA MOHAMMAD IQBAL kay Grandson hain unhoon nay issay 'Lahore City Festival' saabit karnay kay pichlay kayii saaloon say tag-o-do main masroof hain. Mian Sahab aik zamaanay pehlay Lahore kay sab say baRay rayes zaaday samjhay jaatay thay aur unn ka ghar 'Heera Mandi' say taqreeban 500 Meter kay faaslay per hay jo kay 'Haweli Mian Salah-ud-din' kay naam say mahsoor hay.


    aur sab say ziyada iss baat ka afsoos hay kay humain apnii namaaz ki tou fikar hotii hii nahin jo kay hum per farz hay... magar hum iss baat ka bhi ehtiraam nahin kartay kay yahan 'Oucnhii ounchii awaaz main Gaanay baj rahay hain aur wahan Lahore ki masjidoon ki namaz-e-ISHA ki nidayain'!!!!


    Yasir per meri baaton nay bohat asar kia aur nadaamant say uss ki aankhain ansoonyon say purnamm hogayii..........!!!!!


    May ALLAH SWT light and guide our ways AMEEN.

  10. #10
    Join Date
    May 2013
    Location
    pakistan
    Posts
    5,719
    Mentioned
    128 Post(s)
    Tagged
    7184 Thread(s)
    Rep Power
    644262

    Default

    [B @thefire1; paen mujhe khud wahan ki meethi lassi barri pasand hai perrion wali [/B]
    badakhuwar2 zps199b7191 - Writer's club compitition april...

Page 1 of 3 123 LastLast

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •