Originally Posted by
thefire1
Assalaam-O-alaikum
Bohat khoobsurat tehreer, sach batayoon tou aap ki yeh waali episode mujhay bohat hi achii lagii, waja merii travelling ki aadat aur nayay culture kay logon say milna hay...
Meri SPAIN main aisi aik laRki say mulaaqat hoyee thii jiss ka naaq naqsha bilkul Arab jaisa tha basically Saville main ziyada tar mard-o-aurat Arab naqosh kay miltay hain, magar woh SPANISH thii ussay tooti phooti Arabic aatii thii aur uss nay mujh say Arabic aur english main mix baat kii aur thoRii dair baad uss ki aankhain purnamm hogayiii.... meray poochnay per uss nay bataaya kay mujhay lagta hay kay mera ta'aluq muslamaan gharaanay say raha hoga kay jab bhi main duniya main bilkhusoos Palastine main muslamanoon ko Marta hua, ya takleef main dekhtii hoon tou mujhay bohat takleef hoti hay aur main andar hi andar rounay lagtii hoon!!!
Khair, aap ki iss tehreer ki aik aur daleel yeh bhi doonga kay... hum aksar Biron-e-mulk main jaa kar ISLAM say ziayda qareeb ho jaatay hain banisbat apnay mulk kay... yeh main nay bohat NOTE kia hay apnay safar main kay yaqeen karain kay humaray mulk kay moulanoon say mujhay woh log ziyada pasand aatay hain jo ALLAH ki ibaadat kisi ko DIKHANAY ki niyat say nahin balkay apni 'Religious duty' aur apnay 'Personal satisfaction' kay liye kartay hain....!!
Mujhay agli episode ka intizaar aaj say hi hay!!
Shukriya
Khush rahyeh