-
Originally Posted by
sheem
50 50 not always
But har firon ka aik mosa hai
v well said.
-
-
-
Assalaam-O-alaikum
Waisay sab kay comments paRhnay kay baad main iss 'quote' per apnay comments daina chahta hoon.
Main iss QUOTE main aik tabdeeli karna chahta hoon, uss say yeh baat samajh main aajayay gii kay 'Writer Nimra Ahmed' kia kehna chaa rahii hay..
woh tabdeeli yeh hay.
'Insaan Jiss say Sab say ziyad mohabbat karta hay ALLAH ussay ussi kay haathoon say AZMAIYSH main mubtula karta hay'
Zaroori nahin kay humara mehboob chahay woh waldain hoon, humari aulaad ho, yaa humaray bhai behan, biwi, mangaitar waghaira....jaan boojh kar humaray diloon ko touRay..... Aksar waldain apnay DIL per jabbar kar kay apnay bachoon ko bairoon-e-mulk kamaanay bhaijtay hain, yeh aik azmaiysh hay dono kay liye, dil tou uss main bhi toot-ta hay.... Judai aik aisii cheese hay jiss per aksar insaan ka khudh ka IKHTIYAAR nahin hota balkay MAJBOORI aur HAALAAT aisa FAISLA karnay per majboor hotay hain.... bas humain issay POSITIVE thinking say sochnay ki salahiyat chayeh..
Main Nay USS KAY zehan say sochay thay Masa'alay
Woh Shakhs Har Lihaz say HAQ per laga Mujhay.....!
Yeh Imithaan hota hay, aik azmayish hotii hay jiss say har insaan zindagi main guzarta hay, kabhi apnay jaan boojh kar aur kabhi qudratii halaat per hum say BICHAR jaatay hain, kuch lout kar waapis aajaatay hain aur kuch aik 'guzrii yaad' ka hissa bann kar apnay naqsh humaray DIL per ghaRR jaatay hain....!!!
Isi liye dosray quote main iss ki wazaahat hay kay insaan ko apna dil uss tootay huway bartan ki tarah rakhna chayeh kay yeh yaad iss tak aayay magar unn tooti hoyee gaRaRoon say nikal kar bahar chalii jaayay kiyonki agar dil tootay huway bartan ki maanind na hooo tou Yaadain andar hi andar 'zakheera' kar lain gii aur insaaan ko 'Khoon kay Ansoo' rulayain gii, na ussay sukoon lainay dain gee, naa chaain ki saans!!!
Yeh meri soch hay, aap sab ko iss say ikhtilaaf ka poora poora haq hay Khush rahyeh
Originally Posted by
shazia rana
...
-
-
Originally Posted by
thefire1

beautiful n sublime answer,ab sab se pehle men ikhtalaf karun gi...ap ne Nimra ki itni gehri bat samajh li or meri itni asaan na samjhi kiunkeh men namwar writer nai men basant wale topic ki yad dahani krana chahti hun k bachi ne kya kehna chaha tha or ap kya samjhe
-
sahi bat hai.. zaida tar aisy hota ha
-
pasandeedgi ka shukriya..
baaki afsoos tou mujhay hay kay aap nay iss comments ko paRha aur samjha aur meri uss baat ko ziyada dehan say nahin paRha...
Aap kay 'Roshan Khayali' yaa 'Positive attitude' kay jawab main, main nay yehii kaha tha kay agar BASANT manaana aik roshan khayal nazarya hay tou main 'Khabtii' hi thiiik hoon.... kiyonki meri roshan khayali yeh ho gii kay jo paisay main BASANT jaisay non-religious, non-social, unethical and 'shamefull' tehwaar kii tayyari main kharch karoonga wohii paisay main kisi ghareeb ki taleem main, usskay achay malboosaat main yaa uss ko kam-az-kam paithbhar khana khilaanay main kharach karoon... Humain jinn tehwaar ka hukum hay uss ki tayyari main kisi ki madad kar doo, yaani EIDAIN per unn kay liye kapRay silwaa doon kiyonki aik muslamaan honay ki hesiyat say aisa contribution unn ka ikhaalaq aur samaaji haq hay...!! Yeh hay roshan khayaali....!!
Bas itni sii tou baat kahii thii main nay, albatta koi agar apnay ghar main BASANT manaata hay, ghar main iss ka ehtimaam karta hay, tou yeh PERSONAL ISSUE hay iss per naa main aur na hi kisi aur ko koi HAQ haasil hay kay nuktacheeni karay, haan agar yeh ehtimaam PUBLIC main ho raha hay, jahan shareef gharanon kay laRkay laRkiyan Raqs kar rahii hay, aur log sharaab, gaanay aur naa jaanay kaisay kaisay GUNAAH kar rahay hain tou yeh aik SOCIAL PROBLEM hay jiss kay khilaaf main aur meray jaisay bohat say log baat bhi karain gain aur ussay DIL say bura jaanay gain.
Niyat kitni bhi achii ho, duniya aap ko aap kay DHIKAAWAY say hii jaantii hay, aur DHIKAAWA kitna hi acha hoo, ALLAH SWT aap ko aap ki NIYAAT say jaanta hay....
Bas PAEN yehii hay meri explaination, main aap ki tehreer, aap ki soch aur aap ki likhii hoyee kitaboon ka bohat kaayil hoon aur mujhay aap ki naik-niyatii aur aap ki aala-zarfii per koi shaq nahin, I really mean it, khush rahyeh

idhar araam se behas ho sakti hai.
ap ki niyat or dikhawe wali bat se her ba-shaoor banda agree kare ga or jo ap ne pesa fazool kharch kerne or fahashi ki bat ki tu being a muslim men khud ise ghalat kahun gi or jo bat kahi k positive expect dekha jaye tu jo cheez hai e ghalat us ki masbat rukih kahan hoga,matlab ye k men ap ki bat se head to toe agree hun lekin mene apni tehreer men kahin b in cheezon ka zikar nai kia sirf wheather ki bat ki or jahan patang bazi ki bat ki tu beyond the limits kehna nai bhooli k dusre khelon ki tara ye b aik khel hai bas it should be beyond the limits...cricket b tu aik khel hai per india ya pak k harne ki soorat men natija kashmiri bhugat-te hen k masoom logon ko ishta-al ka nishana bnaya jata hai...hun jithe men ghalat u can hang me
-
Posting Permissions
- You may not post new threads
- You may not post replies
- You may not post attachments
- You may not edit your posts
-
Forum Rules