​...Voted...
Naz
Thefire1
Shazia rana
ÛŒÛ Ø±ÛÛŒ سب Ú©ÛŒ شیئرنگ
Naz
mouzo dekh ker mujhey bhot ajeeb laga jab basant ko tehwarr or wo bhi khoubsurat tehwar kha gaya..yeh wo he baat hogaye ke app valentines day ko nahi mantey or wo bhi hamare culture main shamil hochuka hai leken bhot se log usko manne ko tiyar nahi hian or wo aik yahodi ka hia tu uske khilaf tu reliyan tak nikali jati hain...or basant chonkey khud ka banaya hua hia isko manana lazmi thehra...baat tu wo he hogaye ke waha ap yahodi k khilaf hia or aik chez jo k achi nahi hai ap uske khilaf naih hian...mujhe basant nahi pasand..aik tu us main jani nuqsan ka bhot khatra rehta hai...dosra paise ka behad zaiya hota hia ...wo he paisa kisi achi jaga laga diya jaye tu koi qabahat na ho ...leken maine dekha hai Lahore main khas tor per basant tu aise manaya jata hai jaise eid ho or her bar he koi na koi jani nuqsan hota he hai ..jaise ke bike per jane walon ki gardan per dor phir gaye ...koi bacha gir gaya chatt se ..aise he bhot se waqiata paish atey rehtey hain...jo buri chez hai jaise ke sub valentines day ko bura kehtye hain or apne pass b naih ane detey tu mera khayal hai sub ko basant k khilaf b waise he narey bazi karni chahye aik chez buri hai tu buri hai...usko bura he samjhna chahye...waha ap ko apna deen kio nahi yaad araha ...leken yeh b haqiqat hai hamare is mashrey ki k deen b sub ka apni apni pasand ka bun gaya hia...jis ka jaise dil chahta hai deen ko chalata hai...!!!
Mukhtasir yeh k basant khatam honi chahye hamare is mashrey se...!!!
- thefire1
Assalaam-O-alikum
Main apni TEHREER ko aik 'mukalmay' ki shaqal day raha hoon, aur iss main meri aur meray dost kay darmayan guftagoo bayan kar raha hoon jo kay BASANT kay baaray main hay. Iss tehreer ki TAWALAT per main aap sab say paisghii maazrat chahta hoon, magar bohat say facts ko cover karnay kay liye main iss say kam alfaaz istimaal nahin kar saka, aap say guzaarish hay kay issay ghour say paRhay aur agar aap ko iss main koi acha message milay tou mujh khaaksaar ko apni duwaoon main yaad rakhain. shukria.
BASANAT, Humari SAQAAFAT aur HUM
Aaj Sunday ka dinn tha, tou soucha apnay dost Yasir say mil aayoon, bohat dinn huway uss say mulaaqat kiye howay.. waisay bhi aaj kal zindagi ko jeenay say ziyada iss ko nibhaanay ki jad-o-jehd main apnay aap say bhi milnay ki fursat nahin miltii.
Yasir ko khanay ka bohat shouq tha, tou hum nay Lahore ki food street per Cocoo's per milnay ka plan banaya jo kay androon shehar Lahore main, Fort road per waqiya hay.... LAHORE main nashta hoo aur Cocoo's main na jaayay tou 'Lahore Jamiya nahin'.
Cocoo's ka naam sunn kar Yasir kay munn main bhi paani aagaya aur hum dono muqarara waqt per wahan poohanch gayay.
Ali: Aur suna bhai, kahan hota hay aaj kal, kuch ata pata nahin hay tumhara.
Yasir: Wah bhai, gayib tum ho aur ilzaam mujh per.
Ali: ChoR yaar yeh shikway shikayatain baad main kar lain, mujhay bohat bhook lagii hay, jaldi say order day dain.
Yasir: Haan haan pata, tera dimagh uss waqt tak kaam nahin karta jab tak teray pait main 2 - 4 niwaalay naa jaayain.
Yeh keh kar uss nay hasb-e-mamool zour say qheqaha lagaya, yaqeenan humaray saath waali table waalay shakhs ko heart attach ho jaana tha, khair uss nay waiter ko awaaz dii aur woh jaldi say 'Hunn aaya paa jee' kehta hoon lapak kar humari table per aagaya.
Waiter: Jee paii jee, kee laawaan
Yasir: Nashta-e-Foulad lay aa, aik meray liye tay haik babu jee kay liye
Ali: Yaar yeh nashta-e-foulaad kia hay.
Yasir nay hasb-e-mamool zour ka qehqaha lagaya aur kehnay laga
Yasir: Bhai kuch nahin DESI GHEE main bannay PARATHAY, Asli ghee main banay CHANNAY, Saath main 3-4 Halwa poori, aik plate BaRay kay PAYAY saath main 2 adad NAAN, 2 adad baRay baRay Lassi kay Glass aur aakhir main aik baRa piyala Doodh ka jiss main 250Gram Jalaybiyan.....
Ali: Bhai yeh insaan hi khaatay hain, aur kitnay logo kay liye mangaya hay.
Yasir: Khair hay yaar, main nay 2 naashtay mangwayain hain, agar tera bach jaata hay tou main kha loon ga
aur phir uss ka riywaatii qeqaha!
Ali: Khair choR yaar, suna aaj kal kia masroofiyat hain.
Yasir: Bas 'Tayaariyan' zour-o-shour say jaarii hain.
Mujhay baRii khushi hoyee kay aaj bhi MUSLAMANOON kay dil main itni aqeedat hay aur ahtiram hay RAMADAN KAREEM kay jaisay Shahba-e-Karam RZ 6 mahinay pehlay say hi RAMADAN ka intizaar karna shuroo hojaatay thay aur ALLAH SWT say duaa kartay thay kay اللهم بلغني رمضان tou main nay azrah-e-tajasus poocha
Ali: Kia baat hay bhai, RAMDAN ki tayariyan abhii say.
uss nay mujhay aisay dekha jaisay main apnay hosh-o-hawas main baat nahin kar raha aur bola
Yasir: Nahin bhaii, Ramadan ki tayariyan abhii say abhi tou 4 mahinay paRay hain, main tou BASANAT ki tayyarii kar raha hoon.
Ali: BASANAT kay liye tayyari ki kia zaroorat hay?
Yasir: Bhai aaj kal 'Chemical Dour' kay saath agar patang naa uRayii tou maza hi kia hay.
Ali: Yaar iss say tou kitnay log maray hain, kia tujhay iss baat ka ilm hay kay 1990 main iss chemical dour ka isitmaal aam hua tha, uss say pehlay log saaday dhaagay say patang uRaatay thay aur 1992 say 2008 tak kay figures kay mutaabik inn chemical dours ki waja say 80 log luqma-e-ajal bann gayay hain aur tuu hay kay yeh bawaqoofi kar raha hay.
Merii baat kay douran hi waiter nashta table per saja raha tha.
Yasir: Chadd yaar, Nashta kar.
Main apni baat jaari rakhtay huway
Ali: Aur tujkhay iss baat ka ilm hay kay nahin kay Lahore kay High Court kay Chief Justice Janab Khuwaja Shareef nay aur Supreme Court kay Chief Justice Janab Iftikhaar Ahmed Choudrii nay 2008 main Lahore main Basant manana aur chemical dour say patag uRana BAN kar rakha hay aur unhoon nay yeh kaha tha kay 'Its not Kite flying its killing flying'.
Yasir: Chadd yaar, kiyon naashtay ka maza kir-kira kar raha hay, yeh qanoon banaanay waalay khudh hi qanoon touRtay hain.
Ali: Tu BASANT kay baaray main kia jaanta hay.
Yasir: BASANAT Lahore ka TAREEKHI fesitval hay jahan munday, kuRiyan music per dance kartay hain, halla kartay hain, patang uRaatay hain, patang kay paichoon kay saath saath nazroon kay paich bhi lagtay hain aur moujaan hi moujaan
Uss nay phir apnay riwaayatii qheqhay say apni baat ko full stop kia.
Ali: Tuu iss tareekh keh raha hay, kia tuu iss tareekh say waaqif hay?
Yasir: Haan yeh tou bohat puraana tehwaar hay aur humaray buzurgoon say suna hay kay ' ' kay sardii kay jaatay hii mousam-e-bahar ki amad per iss tehwaar ko manaya jaata hay tou iss main burayii hi kia hay?
Ali: Mujhay afsoos hay kay humaray buzurg converted muslims hain aur apnay mazhab main aur culture main bohat see aisi baatain bhi shamil kar lii jiss ka 'Islami saqaafat' say koi taaluq nahin, khair main yahan deen kay hawaalay say koi baat nahin karna chahta, magar main social aur historical fact teray saamnay rakh raha hoon, aagay samajhna na samajhna teray ikhtiyar main hay, kia tujhay pata hay kay BASANT ko urooj uss dour main mila jab 'Takht-e-Lahore' per Mahraja Ranjeet Singh ka raj tha jiss nay Islam ki sab say PAK JAGA yaani Masjid (Badshahi Masjid) main apnay ghouroon (Horse Stable) ka astable banaya hua tha.
Main nay apnii baat jaari rakhtay huway kaha...
Aaj afsoos ki baat hay kay Shareef gharaanay ki khuwateen bhi music ki dhunn main dance kartii hoyee mashghool nazar aatii hain aur main nay khudh apnii ankhoon say aik shareef gharanay ki khwateen ko 'Chappa Chappa CharKha Chalay' gaanay ki dhunn main mast hotay dekha hay.
Meri nazar main yeh koi Social tehwaar nahin hay, kiyonki iss say humaray maashray main buraiyon kay ilaawa kuch haasil nahin hota.
Lahore kay tamam 4 aur 5 stars hotel kay aagay traffic jam hota hay kiyonki wahan bayshumar tadaad main Alcohol khareedi jaati hay aur khareednay waalon main ziyada tar taadad khuwateen ki hoti hay aur aik figure kay hisab say srif aur srif Lahore aur Qusoor main taqreeban 5 Lakh sharaab ki bottles biktii hain.
Uss kay ilaawa 'Call Girl' inn dinoo main bohat hi aam tour per nazar aatii hain, taakay fahashi ki numaish karain aur jawaan aur rayis zaadoon ka shikaar karain.
Yasir meri baat bohat dehaan say sunn raha tha aur uss ki nazraain neechi thi jaisay kisi ko apnay gunah kay iqraar per sharmindagii ka saamna hoo. main apni baat jaari rakhtay huway....
Ali: Badqismatii iss baat ki bhi hay kay Mian Yusuf Salah-u-ddin jo kay ALLAMA MOHAMMAD IQBAL kay Grandson hain unhoon nay issay 'Lahore City Festival' saabit karnay kay pichlay kayii saaloon say tag-o-do main masroof hain. Mian Sahab aik zamaanay pehlay Lahore kay sab say baRay rayes zaaday samjhay jaatay thay aur unn ka ghar 'Heera Mandi' say taqreeban 500 Meter kay faaslay per hay jo kay 'Haweli Mian Salah-ud-din' kay naam say mahsoor hay.
aur sab say ziyada iss baat ka afsoos hay kay humain apnii namaaz ki tou fikar hotii hii nahin jo kay hum per farz hay... magar hum iss baat ka bhi ehtiraam nahin kartay kay yahan 'Oucnhii ounchii awaaz main Gaanay baj rahay hain aur wahan Lahore ki masjidoon ki namaz-e-ISHA ki nidayain'!!!!
Yasir per meri baaton nay bohat asar kia aur nadaamant say uss ki aankhain ansoonyon say purnamm hogayii..........!!!!!
May ALLAH SWT light and guide our ways AMEEN.
Shazia rana
Rules:-
Aap Apni Sharing Ko Khud Vote Ni Kar Saktay...
Polling Ki Last Date 28th April 2014 Hai...
Winner 50% Polling Aur 50% Admins Decide Karay Ge
​...Voted...
done
voted.....
Voted....