Talash-e-manzal-e-janaan to ik bahana tha
Tamam umar mein apni taraf rawana tha
Main teri dhun mein rawan tha mujay pata na chala
Ghubar-e-rah mein shamil gham-e-zamana tha
Main us ko hashar mein kis naam say sada deta
Key mera us ka taaruf to ghaibaana tha
Ajab kashish thi samandar ki sabz aankhon mein
Har aik chashma usi ki taraf rawaana tha
Samand-e-shauq tha Amjad rawan dawan jabtak
Qadam kay neechay sitaron ka shamyana tha
Amjad Islam Amjad