-
Aik Baat
Asalam.o.ALaikum
aik masla hai..her month taqrebun yeh mesg ata hai.
is bar yeh aya hai
zil hajj mubarak
"jo musalman dosre musalman ko "zilhajj" ki khadar de.us k liye jannat ki khush khabri hia.
(Farman )
ab her month zilhajj jaha hiana waha dosra month ka naam likh diya jata hai islami....is ke bare main pochna hai yeh kiya hai ? mai bhot confuse hon is bare mian zara agar kisi ko is bare main pata hia tu plz batayain.
-
Re: Aik Baat
Aaj Mujhe Bhi 50 Time Se Zyaada Ye MSG Aaya Hai
Maine Bhi Aage Frwd Kiye Thay
Lekin Kuch Laugon Se Shikayatein Milli Hain
Saddique Agar Tumhein Kuch Pata Hai Is Baare Main To Bataao
-
Re: Aik Baat
hMmmm
well mjhe b aya hai
Per Dua the point baat krta hun
Aisa kuch nahi hai Kisi month k bare batane se jannat ki bishrat nahi hai.....e.g lein Shawal k 6 roze jis ne rakhe us ko pure saal k rozon ka sawab mil gaya ab is ka yeh matlb nahi k aap ramzan main roze na rakho or shawal k 6 roze rkh lo or kaho main ne to pure saal rakhe hain........
InshAllah eik baat sunaun ga jis se baat clear ho jaye gi
In baaton per yakeen na kijiye Shuriya
Last edited by DaNgErOuS tEaRs; 29-11-2008 at 08:27 PM.
-
Re: Aik Baat
Waqiye Ka Intezar Rahe Ga
-
Re: Aik Baat
Waqiya nahi bhai baat
E.g
Yaar Jaise Masjid Qibla tain main agar koi nwafil parhe to use Umrey ka sawab milta hai per sawab alg cheej hai or umra krna alg......
Jo baat kisi hadees se sabit na ho us per yakeen nahi krna chahiye or na aise baaton ko mind main jaga deni chahiye...
Naz confuse na aise msgs log bs dusron ko gumrah krne k liye krte hain....
-
Re: Aik Baat
jabhe maine aj tak is baat per yaqen nahi kiya or na he fwd karne ko dil chahta hai....thanks na ....
-
Re: Aik Baat
ur welcome
Haan delete kr dene chahiye aise msgs
-
Re: Aik Baat
well, jahan tak mera naqis ilam hai, kuch baatein bata'ti hoon.
Hazrat Muhammad Mustafa (S.A.W.W) ki aik Hadees-e-Mubarak hai jis ka mafhoum yeh hai kay.
Islam ko phailayo, dosron tak pohnchayo.
So, Islam say related jo messages atay hein, unhein forward kernay mein tou koi maza'iqa nahi hai, lekin Aik Hadeed-e-Mubarak hai jis ka mafhom yeh hai kay:
Hazrat Mohammad Mustafa (S.A.W.W) ki taraf say koi bhi baat aise na kaho, jo unhon nay na kahi ho. Matlab, jo na Woh khud kertey they aur na kise Hadeed say sabit hai.
So, apni taraf say yeh likh dena kay aap ko itni naikiyan milein gi, jannat milay gi, theek nahi hai.
Koi bhi ghalti ho gaye ho tou ALLAH(SWT) say maufi ki talabgaar hoon.
Agar mein nay koi baat sahi na kahi ho tou islah kijeay ga.
Jazak ALLAH
-
Re: Aik Baat
Bilkul sahi kaha aap ne Hijab jee
Msg mai agar koi hadees aye to sath main us ka hawala ho to beshak forw. karein per aise sms K 7 logon ko karo khushi mile gi nai karo ge to nuqsan aise sms log krte hain jo thek nahi is liye Alimon k itifaq hai k aise sms per mind nai sharna chahiye
Sahi kaha na main ne
-
Re: Aik Baat
haan yeh sms tu kabhi bhi fwd nahi karne chahye haan edit karke kardo bus naam wagera agar hon tu...or hijab tumne b sahi kha hia.
Posting Permissions
- You may not post new threads
- You may not post replies
- You may not post attachments
- You may not edit your posts
-
Forum Rules