Waah Jaanab Khubsurat Ghazal
Yun hi be sabab na phira karo, koi sham ghar bhi raha karo
Woh ghazal ki sacchi kitab hai use chupke chupke pada karo
Koi haath bhi na milayega jo gale miloge tapaak se
Yeh naye mizaj ka shehr hai zara fasle se mila karo
Abhi raah me in kai mod he in koi ayega koi jayega
Tumhe jisne dil se bhula diya use bhulne ki dua karo
Mujhe ishtihar si lagti hein ye mohabbaton ki kahaniyan
J0 kaha nahin wo suna karo jo suna nahin wo kaha karo
Kabhi husne parda nashin bhi ho zara ashiqana libas mein
J0 mein ban sanvar ke kahin chalun mire sath tum bhi chala karo
Nahin be hijab wo chand sa ki nazar ka koi asar na ho
Use itni garmi-e-shauq se badi der tak na taka karo
Ye khizan ki zard si shaal mein jo udas ped ke pas hain
Ye tumhare ghar ki bahaar hai ise aasuon se hara karo
Bashir Badr
Last edited by Hidden words; 28-04-2014 at 04:40 AM.
ღ∞ ι ωιll αlωαуѕ ¢нσσѕє уσυ ∞ღ
Waah Jaanab Khubsurat Ghazal
Sun Yaara Sunn Yaara
Tere IshQ Daa Cholaa Paaya
one of my all time fav ... sooper
Koi haath bhi na milayega jo gale miloge tapaak se
Yeh naye mizaj ka shehr hai zara fasle se mila karo
khubsoorat
wah bohat khubsurat
Wah wah kiya baat hai zabardast rythem bohat ala hai is ghazal ka shair b bohat khubsurat
Kabhi husne parda nashin bhi ho zara ashiqana libas mein
J0 mein ban sanvar ke kahin chalun mire sath tum bhi chala karo
Ye khizan ki zard si shaal mein jo udas ped ke pas hain
Ye tumhare ghar ki bahaar hai ise aasuon se hara karo
maza ageya aala images hai
bohatt hii aallaa intakahabb hamesha ki tarah /up
تیری انگلیاں میرے جسم میںیونÛÛŒ لمس بن Ú©Û’ Ú¯Ú‘ÛŒ رÛیں
ک٠کوزه گر میری مان لےمجھے چاک سے Ù†Û Ø§ØªØ§Ø±Ù†Ø§
​bht khoob hy g.......