Aik dafaa ka zikar hai ke Japan mein aik sabun bananay wali factory mein ghalti se aik packet baghair sabun ke pack ho gaya. unhon ne is maslay ka hal yeh socha ke lakhoon dollar laga kar aik x ray machine khareed li jo yeh check karti thi ke packet ke andar sabun mojood hai ya nahi. .
yahi masla Pakistan mein howa
unhon ne kya kya? ?
unhon ne assembly line ke peechay aik pankha laga diya. khaali packet khud bakhud urr kar daur ja girtay. Pakistan zindah bad
waqai Pakistani bohat zheen heen hain. . .
America ne khalayi shettle tayyar karwaya caroro dollar kharch ho ye. kayi saal lagey usay tayyar karwanay mein lekin jab yeh kaam mukammal ho gaya aur khalayi shettle urne ke liye chorra gaya to is mein kuch kharabi aagai aur woh start nahi howa tw America ne tamam mumalik mahrin ko bulaya aur sab se pehlay japani karigron ne koshish ki lekin woh nakaam rahay phir cheeni karigron ne koshish ki lekin khalayi shettle start nahi howa phir Pakistani karigron ko bulaya gaya to unhon ne check kya aur kayi mazdoor bulwaye aur kaha ke is shettle ko ulta kar ke do teen jhatkay maro unhon ne aisa hi kya aur phir start ki to khalayi shettle urr gaya aur bilkul durust ho gaya to America ne poocha ke aap ko kaisay pata chala ke shettle is terhan start ho sakta hai to Pakistani karigron ne kaha ke! jab humma ray mulik mein motorcycle start nahi hoti to hum isi terhan start karte hain .