Gaari ka woh machanic kaam karte karte utha is ne panchar check karne walay tub se haath geelay kiye aur waisay hi ja kar
khana khana shuru kar diya, mein ne is se kaha Allah ke bande is terhan ganday hathon se khana khao ge to bemaar
par jayo ge. hazaron jaraseem tumahray pait mein chalay jayen ge kya tum ne kabhi is terhan ki baatein dettol ya sabun ke ishtihar
mein nahi dekhen to is ne jawab diya ke sahib jab hum hathon pay pehla kalma parhte hain aur pani daaltay hain
to saaray jaraseem khud bah khud mar jatay hain aur jab bism Allah parh kar roti ka luqmah torte hain to jaraseem ki
jagah hamaray pait mein barket aur sehat daakhil ho jati hai. mujhe is machanic ki baat ne hila
ke rakh diya yeh to is ka tawakkal tha jo usay bemaar nahi honay deta tha .
Ashfaq Ahmed ki zavia se intikhab