Amna Rani
Ye baat theek hai k zindagi ki zaruriyat ko pura karne k liye pesa boht zaruri hai lekin iss bat ki haqiqat se b inkar nahi kia ja sakta k jahan muhabbat gehri ho wahan pesa koi maani nahi rakhta.....
Ek larka shadi se pehle agr apni mangetar ko sabz baagh dikhaye k me tumhari har zarurat puri karun ga...tume ye b leke dun ga wo b leke dun ga....tumen sonay me tol dunga....or shadi k baad agar uss bechare k halaat uska sath na dain to iska ye matlab to nahi na k larki us se larai jhagra karay or usay chor de.....ye to muhabbat na hui.....dusri taraf agr miyan bivi me muhabbat ho wo b khaalis.to bivi apni zaruriyat tark kar de gi or apne shohar se beja farmaishen nahi kare gi qk wo janti he k uske shohar k halaat abhi uska sath nahi de rahay.....or wese b shadi k baad dolat ka ana ya jana bivi ki qismat se hota hai......Rizq bivi k naseeb me hota hai or olaad shohar k naseeb me....isliye ek dusray k naseeb par ALLAH ka shukr ada kar k agr samjhotay k sath zindgi guzari jaye to kabhi b larai jhgray na hon or pesa jitna b ho uspe sabr shukr kar k meyanaravi se chalna chahye.....
thefire1
Wajood-e-zann say hay, zamanaay main rang
Wajood-e-dhann kay na honay say yeh bay-rang!!
Yeh baatain aaj kal bohat afsaanwii lagtii hain kay paisay kay baghair har rishta 'khush-asloobi' say qayim reh sakta hay.... Paisa insaani zindagi ko guzaarnay, har rishtay ko maintain rakhnay, har kisi ko uss ka haq ada karnay aur 'Khush-gawaar' zindagi ko barqarar rakhnay kay liye bayhadd zaroori hay.....!!
Albatta husool-e-dhann ki khuwahish iss qadar baRh jaayay kay woh LAALACH aur TAMA'A bann jaayay tou yeh meri nazar main aik BEEMAARI hay jo kisi DEEMAK kii maanind DIL say paisay kay ilaawa baaqi sab ki mohabbat ko khatam kar daita, aur insaan ko andar hi andar khokla aur bouseeda kar daita hay!!
Shaadi kay baad responsibilties ka baRhna aur phir bachoon ki zimaydaari.... inn sab kay liye paisa bohat hi ahmiyat rakhta hay... warna miya biwi kay rishtay main KASHEEDGI aana shuroo hojaati hay jiss say bachoon ki zehani aur nafsiyaati sehat per bhi asar paRta hay... yaani paisa ka naa hona na srif ghar kay mahool main ko kahseeda rakhta hay balkay bachoon kay confidence main bhi kami laata hay....
Lihaaza apni zarooriyat-e-zindagi poora karnay aur mohabbatoon ko qayim rakhnay kay liye SRIF KHULOOS-O-MOHABBAT hi kaafi nahin hain, balkay PAISAY ka hona bhi bayhadd zaroori hay.....
Ho paisa agar paas tou har koi RISHTAYDAAR hota hay
Wagarna toutt jaata hay woh, jo rishta KHAAS hota hay!!
naz
zindagi ki bunyadi zaroriyat k lye paisa bhot ahmiyat rakhta hia...shadi se phele tu itna koi nahi sochta leken zarorat tab bhi hoti hia ..leken jab shadi hojaye or bachey bhi hojaye tu or khd per sari zimedari ajaye tu phir paisa ahmiyat rakhne lag jata hia...jab aik aik chez k liye kisi ko tarasna parey aur sath paisa bhi na ho passs tu insani fitrat k mutabiq us per wo he chez hawi hone lag jati hai jo uske pass na ho...islye paise k bina ajkal tu koi kisi ki izaat bhi nahi karta..jis k pass paisa hota hai log tu mooh dekhy ki izaat bhi usi ki kartey hain...!!!
Paise ko khud per hawi naih hone dena chahye...koshish karne chahye k is qabil hojaye ke zindagi ki zaroryat sahi tarah se puri hosky...jo log abhi yeh kahe k nahi aisa hota k mohabbat main farq ata hia ...wo abhi is tajrubey se guzrey nai hongai...mohabbat sath tu hogi lekn pait bharney k lye roti he chahye hogi...!!!
Insan apni khawaishain tu mar skta hai leken Ulad ki khawashain nahi mar sakta ...mohabbat agr ho or sath paisa bhi tu zaida acha hai...werna zindagi ka tajruba bhot kuch sikha jata hai..kiya sahi kiya ghalat...kuan kitney pani main...!!!