Is Month ka Question yeh tha...
"Kia Paise Ki Waja Se Mohabbat Main Nakami Hoti Hai...Kia Paisa he Her Rishtey Ko Apne Sath Lekr Chalta Hai...Zindagi Ki Zarorayat K Liye Paisa Bhot Important Hai...Hum Manne ya Na Manee leken paise ke bina kuch bhi nahi hota...Jab Shadi Hojaye or Bachey bhi hojaye or zarorat na puri hosaky tu relation kha se kha chala jata hai..."
thefire1 ne jis ka ans yeh kia..
Wajood-e-zann say hay, zamanaay main rang
Wajood-e-dhann kay na honay say yeh bay-rang!!
Yeh baatain aaj kal bohat afsaanwii lagtii hain kay paisay kay baghair har rishta 'khush-asloobi' say qayim reh sakta hay.... Paisa insaani zindagi ko guzaarnay, har rishtay ko maintain rakhnay, har kisi ko uss ka haq ada karnay aur 'Khush-gawaar' zindagi ko barqarar rakhnay kay liye bayhadd zaroori hay.....!!
Albatta husool-e-dhann ki khuwahish iss qadar baRh jaayay kay woh LAALACH aur TAMA'A bann jaayay tou yeh meri nazar main aik BEEMAARI hay jo kisi DEEMAK kii maanind DIL say paisay kay ilaawa baaqi sab ki mohabbat ko khatam kar daita, aur insaan ko andar hi andar khokla aur bouseeda kar daita hay!!
Shaadi kay baad responsibilties ka baRhna aur phir bachoon ki zimaydaari.... inn sab kay liye paisa bohat hi ahmiyat rakhta hay... warna miya biwi kay rishtay main KASHEEDGI aana shuroo hojaati hay jiss say bachoon ki zehani aur nafsiyaati sehat per bhi asar paRta hay... yaani paisa ka naa hona na srif ghar kay mahool main ko kahseeda rakhta hay balkay bachoon kay confidence main bhi kami laata hay....
Lihaaza apni zarooriyat-e-zindagi poora karnay aur mohabbatoon ko qayim rakhnay kay liye SRIF KHULOOS-O-MOHABBAT hi kaafi nahin hain, balkay PAISAY ka hona bhi bayhadd zaroori hay.....
Ho paisa agar paas tou har koi RISHTAYDAAR hota hay
Wagarna toutt jaata hay woh, jo rishta KHAAS hota hay!!