mohabbat chhalawa he. .. is ki asal haqeeqat barri mushkil se samajh aati he kuch log jo aap se izhaar mohabbat karte hain Itsaal jism ke khwahan hain. kuch aap ki rooh ke liye tarapty hain kisi kisi ke jazbaat par aap khud haawi ho jana chahte hain. kuch ko samajh soch idraak ki simtao par chhaa jane ka shoq hota he. .. mohabbat chhalawa he laakh roop badalti he. .. isi liye laakh chuha aik aadmi aap ki tamam zarurten poori kar day yeh mumkin nahi. .. aur bil farz koi aap ki har simt har jahat ke khalaa ko poora bhi kar day to is baat ki kya guarantee he ke aap is ki har zaroorat ko har jagah har mausam aur har ehad mein poora kar saken ge. .. insaan jaamad nahi he bherne wala he oopar dayen baen. .. is ki zaroriat ko tum paband nahi kar satke. . .
bano Qudsia ke novel, Raja gidh se iqtabas