Arosa Hya
Aik dilchasp mozo....
ye jumla
"Muhabbat or jang mai sub kuch jaiz hai"
boht se plays , movies or logon mai maqbol paya jata hai...
Kuch is se boht mutasir nazar atey hain... meri sis or cozn b is ki qayel hain jis se hmari kafi b takrar hoi....
Berhal apko btate chalain k ye kahawat maghrib ki ijad hai.... jo captalism k perokar hain jis k mutabik khuda ka wajood to hai magar dunia pe jo krna hai hmari marzi hai , hum azad hain kuch b jaiz or na jaiz bnany k liye. Is ka hmari tehzeeb se koi lena dena nhi bas andhi taqleed mai is k hami ho gaye hain !
Khair to baat ho rahi thi k ye kahawat sach mai drust hai ya nhi....
To janab maghrib k mutabik
"Muhabbat or Jang mai sub kuch jaiz hai "
Jang mai masoom bekas bachon ki jan lena, aurton ko pamal krna, zufa pe sitam krna, zyadti , qatal e aam, gharon ko aag lgana, khaiton ko rakh krna, ghair insani tashaddud krna, mukhalif se bad-ehdi, sazish, makkariyan , mulak geeri gharz ye k subbbbb kuch jaiz hai.....
Isi tra Muhabbat mai b sub kuch jaiz hai,baghawat, hawas, be-rahrawi, takmeel e khwahish ka hr zariya dhoka , jhoot, be-emani sb kuch jaiz hai...
Bad-kismati se hamari nojawan nasal b maghrib k is sunehre usool ki taqleed kr rahi hai
Chon'k hamari tehzeeb maghrib se mukhtalif thi (jo hum ne kho thi taqreeban) or hmare islaf k sabaq k mutabiq behesiyat musalman hmare liye aisi koi azadi nhi.... toheed o risalat ki shahadat dene wala her shakhs islam k hasar mai aa jata hai jis ka muhasra hadood o qayod ne kr rakha hai jo Khaliq e kainat ne mutayyen kr rakhi hain. Is daira mai any k bad hum azad nhi rehte paband ho jate hain ALLAH k ehkamat k phir jo koi US k muhasre se bahar jaye ga...us k liye saza hai Q k wo khud pe zulm krt hai !!
IMuhabbat insani fitrat hai is liye islam ne behesiyat deen e fitrat is ki hadood b rakh den k is k taqazy b pore hon... yehi muhabbat to tmam rishton ki asas hai. Mere piyare Nabi S.A.W ki hadees ka mafhoom hai
"Hum ne 2 muhabbat krne walon k liye nikkah se achi koi cheez nhi dekhi"
jb is ki hadood se hum age jayen ge to jhoot, dhoka , gumrahi or zulm k shikar ho jayen ge bilkul maghrib ki tra....
Doran e jang musalmano k liye ehkam hain k auraton ka ehtram krna, zufa se zyadti na krna, bachon pe hath na uthana, khaiton ko aag na lgana, bastiyan na jalana or tareekh gawah hai k jab musalman in usolon pe amal krte hoay fateha ban k hukmaran hoay to log in aman pasnd usolon or aqdar se mutasir ho kar hmesha islam ki traf khinche or joq dar joq islam qabool krte rahe.
lehaza aik acha ba-shaor insan or musalman kbi b is muhawry ki tqleed nhi kre ga k
"Muhabbat or Jang mai sub kuch jaiz hai"
aisa hrgiz
nhi
!
"
Islam
Does
Not
Dissipates
desires,
It
disciples
them
"