khoobbb
. bohat buri shai hai, bohat si buraiyon ki jarr hai yeh jawani. agar insaan pay yeh jawani hamesha rehti to duniya mein pata nahi kya kya fasaad hotay aur kya kya kiyamteen aatin. shukar hai ke yeh khatarnaak shai Allah ne guzar jane ke liye banai hai yeh guzar jati hai to insaan sukoon sabr aur bardasht ke Libade mein ajata hai jaisay kisi tufaan kisi aandhi ke baad sukoon aur sannata chhaa jata hai kuch aisa haal jawani ke baad bhi hojata hai. jawani joban pay ho to doosron ko daraati hai dhamkati hai rulati hai aur jo jawani dhal jati hai tab doosron se darti hai khauf zada hoti hai aur roti hai. aur ronay ka matlab hai aajzi. aur aajzi Allah ko bohat pasand hai.' '
Nabila Aziz
Last edited by Sachii Dosti; 05-12-2014 at 10:50 PM.
I aM sTrOnG bEaCaUsE I DePeNdS oN AllAh
khoobbb
تیری انگلیاں میرے جسم میںیونÛÛŒ لمس بن Ú©Û’ Ú¯Ú‘ÛŒ رÛیں
ک٠کوزه گر میری مان لےمجھے چاک سے Ù†Û Ø§ØªØ§Ø±Ù†Ø§
Bohat khooob.....!
Agar jawaani naa hotii tou Imtihaan kaisay hota... yeh duniya aik 'imtihan gaah' hay aur yehii humara imithan hay kay jab jawaani hay, jazbaat bharpoor hain, uss waqt aap apnay nafs per kaisay qaboo kartay hain, kaisay Rab kay huzoor sajda raiz hotay hain, kaisay Shaitaan say panaah maangtay hain.
Allah SWT kay nazdeek behtreen ibaadat woh hay jo JAWAANI main kii jaayay....
Jawaani bohat burii shayy zaroor sahii magar yeh rah-e-nijaat bhi hay....!
khoobsurat iqtibaas..... keep sharing. khush rahyeh