'' tum mujh se khafa ho ?' ' woh khamosh rahi .
'' mujhe kya zaroorat hai naraaz honay ki.' ' woh aaj kaafi din baad barri faraghat ke sath porch mein rakhay poudoun ko pani daal rahi thi .
'' rams ke proposal par heran honay wali kya baat thi ?' ' Mahem ne tajahul arifana ka khoob muzahira kiya. aisha ne ghoor kar usay dekha .
'' mujhe herani rams ke proposal par nahi, tumhare teen din baad batanay par ho rahi hai.' ' aisha ne aik aik lafz par zor day kar usay kuch bawar karwanay ki koshish ki .
'' tum insanon ki tarhan baith kar baat nahi kar sakteen.' ' Mahem ne uskay haath se zabardasti pipe pakar kar australian ghaas par phenka .
'' pehlay tum insanon ko insaan samjhna to seekh lo, phir rawaiyon ki baat karna.' ' aisha ne taizi se kaha aur narazi ka izhaar karne ke liye kosmos ke pouday ko dekhnay lagi .
'' tum ne kosmos ke pouday par reserch paper likhna hai jo musalsal un par nazrain jamaye khari ho.' ' Mahem chirr kar boli .
'' kam az kam un phoolon ke rang asli to hain, dhoka to nahi dete.' ' aisha ne sanjeedgi se kaha to Mahem kuch der ke liye chup si hogayi .
( Saima akram chohadry ke novel' ' deemak zada mohabbat' ' se iqtabas )