duniya mein sab se pyara mausam andar ka mausam hota hai aur sab se khobsorat jagah insaan ka dil lekin khobsorat jagah usay khud banana parta hai taa ke jab hum kabhi duniya ke alaam se ghabra kar is se bhaag jana chahain to hamaray andar ki duniya is ka Naeem albdl ban jaye to is khobsorat baghiche ki saaf safai ke sath zurori hai ke is mein mohabbat, Afoo , rawadari, sachaai aur imaan daari ke aisay ghulaab lagaye jayen jin ki khushbu dil ko mehka day aur rang khushnuma nzarah bakhsheen hasad, ghuroor khud pasandi, anaa parwari aur khoshamad aisi zahrili jhaad jhankaar hai jo sir zameen dil ko nah sirf bad numa banati hai balkay agar jald hi usay ukhaar nah phenka jaye tu jarain daur daur tak phail kar karhwahat ka aisa phal peda karti hain ke jo sahib dil ko to zahreela karta hi hai sath mein is se munsalik logon ko bhi nuqsaan pohanchata hai -