"Mohabbat k barey main baatain sub kartey hain...leken jab tak khud ko mohabbat na hojaye tab tak mohabbat ki samjh waqie nahi lagti...app ka is bare main kia khayal hai k aisa he hota hai ? agar app waqie kisi ki mohabbat ka shikar hain tu kia ap ki phele b soch wohe thi jo mohabbat hone se phele thi or bad main b kia ap ki soch wo he hia ?"
mere mutabik...
Muhabbat aik pakeeza sa lateef jazba hai jis ka tauluk Roh se hai.
Her kisam ki aalaish se pak, be gharz, sabar or qurbani se muzayyan.
Her insan k is k mutalik mukhtalif nazriyat hoty hain jo sary k sary dilchasp hain...
Is liye zaati tjurbat pe mabni sb ki raye b mukhtalif hoti hai.
Dekhiye her insan ko kisi na kisi rishty se unsiyat zror hoti hai... jo us k liye sb se barh kr ho!
Mere khayalat o tjurbat ki roshni mai
Insan ko boht se logon se lagao ho skta hai Q k muhabbat insani fitrat hai.
ye kbi nhi badal skti na isy roka ja skta hai...
jese mje zindagi mai boht se logon se muhabbat hoi
lekin un mai mere blood relations, meri dost or meri aik teacher shamil hain.
Meri nature thoti ajeeb hai... kbi kisi se mutasir nhi hoti , is dunia ki kisi cheez mai dilchaspi nhi ho ski
jese sb cheezon ki kashish madoom ho gayi ho...
jo log ache lagty hain wo inteha k ache lagty hain ..... pta nhi kiyoun !! : (
Lekin kbi chah kr b kisi ko hmesha sath nhi rakh ski
jis ki wja kbi family clash bany, kbi death, kbi majbori......
Gharz ye k mere nazdeek muhabbat azmaish k siwa kuch b nhi... aziat hai
Jis pe beharhal sabar hi krna hota hai
Or aakhar mai khuda ki traf hi loutna hota hai....
Sirf wohi nazar ata hai
Usi ki Muhabbat daimi hai
Jo bar bar insano ki muhabbat mai mubtla kr k azmata hai
Shayad cheezon se b muhabbat hoti ho logon ko lekin mere liye iska tasawur mushkil hai
yehi mere bachpan se aj tak k khayal hain
jo kbi nhi badalty
Or ab mai insano se dour rehny ki koshish krti hon
Kho jany ki aziyat se dar lagta hai
Halan k Maloom hai k khuda kisi ko taqat se zyada azmaish mai nhi dalta!
is se zyada Kuch nhi likh skti.... zehn muntashir ho chuka hai is mozo per!!