Assalaam-O-alaikumFriends,
Makkah Mukaramma aur Madina Munawarra ka safar aik aisa safar hota hay kay insaan waapis aakar wahan jaanay ki TaRap bohat hi shiddat say mehsoos karta hay....!!
Wohi IQBAL Jiss Ko Naaz Tha Kal Khush Mizaaji Ka
Firaq-e-Taiba Main Phirta Hay Ab Ranjeeda Ranjeeda
Main aap say apnii dastaan-e-safar share karna chaata hoon
Madinay Kay Zaayer Khuda Kay Liye
Dastan-e-Safar Mujh Ko Yoon Mat Suna
Dil TaRap Jaayay Ga, Baat BaRh Jaayay Gii
Meray Mohtaat Ansoo Tapak Jaayaain Gain!!
Apna safar likhay huway aisay jazbaat hain tou yaqeenan aap sab ko yeh paRhtay huway kaisa mehsoos karain gain iss ka andaaza lagaana meray liye naa-mumkin hay.
Main nay sab say pehlay Khana Ka'aba ka rukh kia aur Umra ki adaygii kay baad taqreeban subah 9:00 bajay tak hogayii phir dopahar ki namaaz yaani Juma-e-Mubarak Haram shareef main ada kia.
Namaz ki adayegii kay baad mera rukh Madina shareed ki taraf hua, wahan poohanch kar Huzoor-e-Karim SAW kay Roudha-e-aqdas per salaam paish kia.
Makka Sharif ka mousam thoRa garam tha, magar badaloon say suraj dhaka hua tha, magar faza main garmii mehsoos horahii thii.
Madinay kay safar kay douraaan raastay main baarish shuroo hogayii aur poora dinn itni taiz baarish hoyee kay kia batayain. mousam main thand aur baarish ki rehmatoon main jaisay yahan aik dilkash mahool paida kardia, yeh rahii tasweer uss khoobsurat manzar kii.
Phir main nay apna rukh uss jaga ka kia jahan per Ghazwa-e-Khandak thii... eh chotii see masjid iss hill per tameer kii gayii hay jisay Turkish government nay tameer kia tha... iss jaga Nabi-e-Karim SAW ka khaima-e-iqdas tha Jung-e-Khandaq kay douraan.
Nabi-e-Karim SAW kay aahatay main hii neechay ki taraf iss masjid ki jagah Hazrat Salman Farsi RZ ka khaima tha, jinhoon nay khandaq khoudnay ka mashwara dia tha
Background main nazar aanay waalii masjid main Hazrat Umar Bin Khattab aur uss say peechay kay area main Hazrat Ali RZ aur Hazrat Fatima RZ kay khaimay thay.
Yahan per kuch dair guzaarnay kay baad mera agla stop tha Masjid-e-Quba. Islam ki sab say pehlii masjid jo Madina say channd kilo meter kay faaslay per hay (ab madina ka hi hissa hay)..
Masjid-e-Quba kay baaray main hadith hay kay jo shaks apnay ghar say naha dhoo kar aayay aur iss masjid main 2 nawafil ada karay ussay Umra ka sawaab hay. tou hum nay bhii iss opportunity say faida uthaaya aik umra Makkah main ada kia aur dosra Madina main.
Jahan AAP SAW nay qayaam famraya tha Madina daakhil honay say pehlay... jiss jagah outnee rukki thii woh right side main baithay buzurg kay saath jo pillar hay woh jaga hay... yeh aam tour per logo ko pata nahin hota, kyonki saaray aasaar mita diye gayay hain aur aik aali-shaan masjid ki bunyaad rakhii hay yahan.
Yeh woh kuwayain (well ) ki jaga hay jahan Hazrat Usman Ghani RZ say nabi-e-karim SAW kii anghooti (Khatam-e-Nabi SAW) girr gayii thii aur mili nahin... kehtay hain kay Turkish dour mainn iss anghooti ko nikal lia gaya tha aur ab woh Turkish government kay paas hay.... albatta haal hii main iss kunwayain ko Saudi government nay bandd kardiya!
Madina say kuch door taqreeban 25KM kay faaslay per aik waadi aabad hay jiss ka naam hay 'wadi-e-bayd' (the white valley) jo kay wadi-e-djinn kay naam say mashoor hay... main nay wahan ka rukh kia aur aur waadi ki hudood main daakhil ho kar jiss gaRi main sawaar tha uss ko NEUTRAL GEAR per rakh dia aur to my amazement gaaRi nay khudh ba khudh chalna shuroo kardiya aur 120KM ki raftaar tak baghair gear kay poohanch gayii kay mujhay break lagaana paRa.. this was a magical moment of my life...
Yeh tasweer iss waadi main moujood aik pahaR kii hay jo abar-alood hay... aur yahan bhi halki halki baarish ho rahii thii.