Assalam-o-Alaikum

Mairi dairy ka wrq hazir-e-khidmet hey

Eid key din jaha'n buhat si khushya'n latey hai'n wahi'n mujhey buhat kuch yad bhi dila daitey hai'n is bar dil ney kaha kyoo'n na aap sub ko bhi is mai'n shareek kerloo'n tu apni zindagi ki dairy ka ye warq aap sub key liye hazir hey

Muhabbet key buhat sey roop hotey hai’n aur her her roop samander sey ziyadha gehrai rakhta hey aur un key ander tu muhabbet key samander mojzen hai’n 6 bhaiyoo’n ki behen

Nikhet

Ye ek bhera pura khandan hey yaha’n ki aqdar bari khobsurat hai’n broo’n ka adab kia jata hey aur chotoo’n key sath shafqet sey paish aaya jata hey, sarey bhai inhai’n “Baji keh ker pukartey hai’n, Baji key yaha’n Eid ki taiyari ek hafta qabl hi shoro ho jati hey kyoo’n key ye Baji ka hukm hey keh Eid key din dopeher ka khana un key sarey bhai bhatijey un yaha’n hi khai’n ge aur shaam ko sari bhabiya’n baitiyoo’n key sath aai’n gi her ek key pasand ki dishes taiyar ki jati hai’n ek khobsuret tehwar ko intihai muhabbet sey aur mil jul ker manatey hai’n ye log sub Baji sey buhat muhabbet kertey hai’n aur “baji kit u jan hey apney bhaiyoo’n mai’n” ye jumla mahavraten nahi’n likha gaya ye haqiqet hey aisey aap ko sahi sey samajh nahi’n aaye ga khud hi daikh lijiye

25 November ye who date hey jaha’n sey is asfos nak real story ka aghaz hota hey Baji Islamabad mai’n apney brey baitey key gher hai’n unka chota baita Karachi mai’n hey keh achanek us key phone ki bell bajti hey aur dosri taraf sey us ney jo kuch suna us key barey mai’n shayed us ney kabhi socha bhi nahi’n tha usey khaber mili hey keh us key sub sey brey mamoo’n ka intiqal hogaya hey, Baji ko Islamabad mai’n khaber mil chuki hey laikin who apney bhai ka aakhri dedar na kersaki’n aur puri koshish key bawajoud waqt per Karachi na pohonch saki’n aur un kit u jan thin a apney bhaiyoo’n mai’n tu Baji ye sadma na berdast saki’n aur gir hi tu gai’n unkey chotey baitey ney bus apney walid key cheekhney ki awaz suni hey who usey pukar rahey hai’n keh aaker apni Maa ko daikho unka baita bhagta huwa aaya hey aur apni Maa ko goud mai’n utha ker gari ki taraf dora hey aur sirf 15 minutes mai’n woh hospital ponhcha hey baji coma mai’n chali gai hai’n sarey khandan mai’n ek afra tafree si mach gai hey baji ko shaded stroke huwa hey doctors kehtey hai’n koi umeed nahi’n

27th December ki dermiyani shab waqt 2:30 Baji ka sub sey chota baita apni Maa k pair apney hathoon main pakrey huwey hey jo aahista aahista thandey pertey ja rahey hai’n or woh lamha lamha pal pal usey apney se dor jata daikh raha hey usey aisa mehsos ho raha hey jaisey rait aahista aahista us ki muthi sey phisalti ja rahi hey us ki Maa ka who pyar bhra aanchel us k hath sey chut’ta jar aha hey aur phir wo chali gai’n wo waqt who kabhi nahi’n bhula sakta aur mai’n bhi keh us ka who chota baita jis key hathoo’n mai’n ab sirf apni maa key thendey paoo’n reh gaye hai’n mai’n hi tu hoo’n


Aur us din mai’n bachey sey bara hogaya aur Baji key sarey bhai ek hi raat mai’n borhey hogaye aur mai’n un key jhukey huwey kandhey aur aansoo bhri aankhai’n bakhobi daikh sakta hoo’n

Eid her saal aati hey laikin ab hamarey yaha’n sarey khandan waley khaney per jama nahi’n hotey keh baji nahi’n rahi’n, mai’n aaj bhi mushkilaat mai’n ghirta hoo’n laikin aaj mairi Maa nahi’n keh jis keh aanchel mai’n monh chupa ker mai’n her fiker sey azad ho jaoo’n