Assalam O Alaikum
August ki polling ki saath hazir hoon
Hamara sawal yeh thaa kay
"Mohabbat k barey main baatain sub kartey hain...leken jab tak khud ko mohabbat na hojaye tab tak mohabbat ki samjh waqie nahi lagti...app ka is bare main kia khayal hai k aisa he hota hai ? agar app waqie kisi ki mohabbat ka shikar hain tu kia ap ki phele b soch wohe thi jo mohabbat hone se phele thi or bad main b kia ap ki soch wo he hia ?"
3 sharing aayin hain apni fav sharing ko vote karen
Rules:
1 member 1 hi vote karay ga
khud ki sharing ko vote nahi kar saktay
Last date 28/8/2014 hai
Winner polling aur admins mil kay decide karen gye
thefire1
Walaikum AssalaamYeh tou bohat hii khatarnaak sawaal kar diya aap nay @naz; sister khair woh tou aap ki aadat hay Jahan tak mera zaati mushaida hay tou mujhay tou humesha yehii laga hay kay hum nay aur humaray maashray nay bohat ko bohat hi complex aur complicate relation bana lia hay... Mohabbat jitna aasaan aur saada sa jazba hay, unta hii mushkil aur paycheeda hum nay issay bana dia hay.Jahan tak meray zaati tajurbay ka ta'aluq hay... tou main iss jazbay say waaqif tou tha magar khudh kabhi mubtala nahin hua tha... main mohabbat karnay waaloon ki qadar tou karta tha, magar khudh iss jazbay main mulawis hokar kisi ki mohabbat kii shiddat ko mehsoos nahin kia tha, naa hi kabhi apnay hoslay ko challenge kia kay kia main mohabbat jaisay nafees aur pak rishtay kii pasdaari kar bhii payoon ga kay... nahin aur humesha AHTIYAAT bartii kay kiyon uss mohabbat ka izhaar karoon jiss ko main poora nahin kar saka... yehi waja thii kay college main school main kuch chehray dil ko achay lagay, magar zaban say kabhii izhaar na hua.... aur phir professional life nay tou qadmoon ko iss qadar jakaR lia aur kandhoon per itna boojh daal dia kay apnay 'mustaqil-e-roshan' kay husool nay mujhay 'sinf-e-nazuk' ki jaanib tawajoo karnay say rouk dia.... Bahar-kehf kehtay hain kay honii ko kaun taal sakta hay... waqayii Mohabbat aik aisa 'pur-lutf' jazba hay jiss ko insaan ussi waqt samajh sakta hay jab woh khudhh uss main mubtala ho kar dekhay... saaray mushahiday dharay kay dharay reh jaatay hain, hum jo kabhi 'waiiz' bann kar auroon ko lecutre day rahay hotay hain, khudh hii uss daldal main phanstay chalay jaatay hain, achay buray ka ehsaas hi nahin rehta, yeh bhi nahin sochtay kay anjaam kia hona hay, magar yehhh chand lamhay aap kay dil ko bohat REHAM-DIL bana daitay hain, aur aik SHAFEEQ insaan ki tarah har rishtay ko uss ka ehtriam aur ahmiyat daina shuroo kar daitay hain... aap kay dil main apnay aap say mohabbat karnay ki chahat paida ho jaati hay, aap acha bolna chahtay hain, achay dikhna chahtay hain, acha banna chahtay hain.... kiyonki aap per kisi ki nazar paR rahii hay, aap kisi ki deed ka markaz bannn rahay hain, aap kisi ki muskurahat ka saathii bann rahay hain.... Mohabbat nazaryey badal daitii hay... Mohabbat insaan ko insaan bannay ka aur insaniyat kii khidmat karnay ka sabaq daitii hay... albatta mohabbat hawas say pak ho, kisi jinsi khuwahish ka markaz na hoo yaa phir apnay jhootay iraadoon ki takmeel ka sabab!!! @naz; bohat kuch likhna tha..... naa jaanay kiyon mohabbat ka naam aatay hi meri ungliyan kis taiz raftaari say chalna shuroo ho jaatii hain maazarat meri post ki tawaalat ka aur kahin bhi kisi ghaltii ka.... yahan competition main tou srif 'ONE TAKE' hii hota hay bilkul ussi tarah MOHABBAT bhi ONE TAKE daitii hay zindagi ko!!! khuhs rahyeh
Devil
W,Salam..! Thora Mushkil Tha But Likh Liya Jo Likhna Tha!LOVE aik khubsurat jazba hai khubsurat ahsas hai.But mera yai khyal hai k insan ko pata hota hay k joray asmanon pai bantay hain....kyahi acha ho agar insan shadi k baad usi sai pyar karai jo uska humsafer ho....insan aisai jhanjhaton main na paray k stories aty hain k larka falani larki ko lai k bhag gya....larka larki nay court marriage karli....waghaira waghaira...laikin jaahan 2 maharum hoon wahan teesra ALLAH hota hay....or jahan 2 namahram hon wahan teesra shaitan hota hay....shaitan hi aisai kam karata hay.....
Arosa Hya
"Mohabbat k barey main baatain sub kartey hain...leken jab tak khud ko mohabbat na hojaye tab tak mohabbat ki samjh waqie nahi lagti...app ka is bare main kia khayal hai k aisa he hota hai ? agar app waqie kisi ki mohabbat ka shikar hain tu kia ap ki phele b soch wohe thi jo mohabbat hone se phele thi or bad main b kia ap ki soch wo he hia?
"mere mutabik... Muhabbat aik pakeeza sa lateef jazba hai jis ka tauluk Roh se hai. Her kisam ki aalaish se pak, be gharz, sabar or qurbani se muzayyan. Her insan k is k mutalik mukhtalif nazriyat hoty hain jo sary k sary dilchasp hain... Is liye zaati tjurbat pe mabni sb ki raye b mukhtalif hoti hai. Dekhiye her insan ko kisi na kisi rishty se unsiyat zror hoti hai... jo us k liye sb se barh kr ho! Mere khayalat o tjurbat ki roshni mai Insan ko boht se logon se lagao ho skta hai Q k muhabbat insani fitrat hai. ye kbi nhi badal skti na isy roka ja skta hai... jese mje zindagi mai boht se logon se muhabbat hoi lekin un mai mere blood relations, meri dost or meri aik teacher shamil hain. Meri nature thoti ajeeb hai... kbi kisi se mutasir nhi hoti , is dunia ki kisi cheez mai dilchaspi nhi ho ski jese sb cheezon ki kashish madoom ho gayi ho... jo log ache lagty hain wo inteha k ache lagty hain ..... pta nhi kiyoun !! : ( Lekin kbi chah kr b kisi ko hmesha sath nhi rakh ski jis ki wja kbi family clash bany, kbi death, kbi majbori...... Gharz ye k mere nazdeek muhabbat azmaish k siwa kuch b nhi... aziat hai Jis pe beharhal sabar hi krna hota hai Or aakhar mai khuda ki traf hi loutna hota hai.... Sirf wohi nazar ata hai Usi ki Muhabbat daimi hai Jo bar bar insano ki muhabbat mai mubtla kr k azmata hai Shayad cheezon se b muhabbat hoti ho logon ko lekin mere liye iska tasawur mushkil hai yehi mere bachpan se aj tak k khayal hain jo kbi nhi badalty Or ab mai insano se dour rehny ki koshish krti hon Kho jany ki aziyat se dar lagta hai Halan k Maloom hai k khuda kisi ko taqat se zyada azmaish mai nhi dalta! is se zyada Kuch nhi likh skti.... zehn muntashir ho chuka hai is mozo per!!