Results 1 to 5 of 5

Thread: Winner of Mohabbat Kadah Comp August 2014

  1. #1
    Join Date
    Feb 2008
    Location
    Karachi, Pakistan, Pakistan
    Posts
    126,450
    Mentioned
    898 Post(s)
    Tagged
    10965 Thread(s)
    Rep Power
    21474979

    candel Winner of Mohabbat Kadah Comp August 2014



    winner hian..

    thefire1




    Sawal Yeh Tha..jis ka ans inho ne diya...


    "Mohabbat k barey main baatain sub kartey hain...leken jab tak khud ko mohabbat na hojaye tab tak mohabbat ki samjh waqie nahi lagti...app ka is bare main kia khayal hai k aisa he hota hai ? agar app waqie kisi ki mohabbat ka shikar hain tu kia ap ki phele b soch wohe thi jo mohabbat hone se phele thi or bad main b kia ap ki soch wo he hia ?"


    Answer


    Yeh tou bohat hii khatarnaak sawaal kar diya aap nay @naz; sister khair woh tou aap ki aadat hay Jahan tak mera zaati mushaida hay tou mujhay tou humesha yehii laga hay kay hum nay aur humaray maashray nay bohat ko bohat hi complex aur complicate relation bana lia hay... Mohabbat jitna aasaan aur saada sa jazba hay, unta hii mushkil aur paycheeda hum nay issay bana dia hay.Jahan tak meray zaati tajurbay ka ta'aluq hay... tou main iss jazbay say waaqif tou tha magar khudh kabhi mubtala nahin hua tha... main mohabbat karnay waaloon ki qadar tou karta tha, magar khudh iss jazbay main mulawis hokar kisi ki mohabbat kii shiddat ko mehsoos nahin kia tha, naa hi kabhi apnay hoslay ko challenge kia kay kia main mohabbat jaisay nafees aur pak rishtay kii pasdaari kar bhii payoon ga kay... nahin aur humesha AHTIYAAT bartii kay kiyon uss mohabbat ka izhaar karoon jiss ko main poora nahin kar saka... yehi waja thii kay college main school main kuch chehray dil ko achay lagay, magar zaban say kabhii izhaar na hua.... aur phir professional life nay tou qadmoon ko iss qadar jakaR lia aur kandhoon per itna boojh daal dia kay apnay 'mustaqil-e-roshan' kay husool nay mujhay 'sinf-e-nazuk' ki jaanib tawajoo karnay say rouk dia.... Bahar-kehf kehtay hain kay honii ko kaun taal sakta hay... waqayii Mohabbat aik aisa 'pur-lutf' jazba hay jiss ko insaan ussi waqt samajh sakta hay jab woh khudhh uss main mubtala ho kar dekhay... saaray mushahiday dharay kay dharay reh jaatay hain, hum jo kabhi 'waiiz' bann kar auroon ko lecutre day rahay hotay hain, khudh hii uss daldal main phanstay chalay jaatay hain, achay buray ka ehsaas hi nahin rehta, yeh bhi nahin sochtay kay anjaam kia hona hay, magar yehhh chand lamhay aap kay dil ko bohat REHAM-DIL bana daitay hain, aur aik SHAFEEQ insaan ki tarah har rishtay ko uss ka ehtriam aur ahmiyat daina shuroo kar daitay hain... aap kay dil main apnay aap say mohabbat karnay ki chahat paida ho jaati hay, aap acha bolna chahtay hain, achay dikhna chahtay hain, acha banna chahtay hain.... kiyonki aap per kisi ki nazar paR rahii hay, aap kisi ki deed ka markaz bannn rahay hain, aap kisi ki muskurahat ka saathii bann rahay hain.... Mohabbat nazaryey badal daitii hay... Mohabbat insaan ko insaan bannay ka aur insaniyat kii khidmat karnay ka sabaq daitii hay... albatta mohabbat hawas say pak ho, kisi jinsi khuwahish ka markaz na hoo yaa phir apnay jhootay iraadoon ki takmeel ka sabab!!! @naz; bohat kuch likhna tha..... naa jaanay kiyon mohabbat ka naam aatay hi meri ungliyan kis taiz raftaari say chalna shuroo ho jaatii hain maazarat meri post ki tawaalat ka aur kahin bhi kisi ghaltii ka.... yahan competition main tou srif 'ONE TAKE' hii hota hay bilkul ussi tarah MOHABBAT bhi ONE TAKE daitii hay zindagi ko!!! khuhs rahyeh

  2. #2
    Join Date
    Apr 2010
    Location
    k, s, a
    Posts
    14,630
    Mentioned
    215 Post(s)
    Tagged
    10287 Thread(s)
    Rep Power
    1503272

    Default

    congratulations 1929 - Winner of Mohabbat Kadah Comp August 2014

  3. #3
    *jamshed*'s Avatar
    *jamshed* is offline کچھ یادیں ،کچھ باتیں
    Join Date
    Oct 2010
    Location
    every heart
    Posts
    14,585
    Mentioned
    138 Post(s)
    Tagged
    8346 Thread(s)
    Rep Power
    21474865

    Default

    congrats4wxw - Winner of Mohabbat Kadah Comp August 2014
    کہاں اتنی سزائیں تھیں بھلا اس زندگانی میں
    ہزاروں گھر ہوئے روشن جو میرا دل جلا محسنؔ


  4. #4
    Join Date
    Sep 2011
    Location
    Jadoo Nagri
    Posts
    19,712
    Mentioned
    198 Post(s)
    Tagged
    8340 Thread(s)
    Rep Power
    21474869

    Default

    Walaikum o Assalam



    congrats1 - Winner of Mohabbat Kadah Comp August 2014

  5. #5
    Join Date
    Dec 2009
    Location
    SAb Kya Dil Mein
    Posts
    12,694
    Mentioned
    1006 Post(s)
    Tagged
    2307 Thread(s)
    Rep Power
    21474864

    Default

    1059471hpa5ir3vni - Winner of Mohabbat Kadah Comp August 2014





Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •