pehle khanaay se aakhri khanaay taq is ne saari kitaaben dekh dalain usay quran pak nahi mila tha, woh chhootey bachon ki terhan hichikiyaan letay hue teesri almaari ki talashi lainay lagi woh kitabon ko dhundlayi hui aankhon se dekh kar farsh par achhal deti is ne saari almaari khaali kar daali uski pusht par kitabon ka ambaar laga tha uskay haath paon aur chehra gird se att gay they uskay balon mein kaghaz ke be shumaar purzey atkay hue hue they ab sirf aik almaari bachi thi .
“agar is mein bhi allah ki kitaab nah hui to. .. .. .. .. “
usay laga woh mar jaye gi leraztay hathon se panchwin almaari ke patt khole ab woh kitabon ko nihayat ahistagi aur sust rawi se dekh rahi thi teesray khanaay ki pehli kitaab ki taraf haath berhate hue is ne apna saans taq rok rakha tha woh quran pak tha. .. . gird jamay ourak ko be thaasha choomtay hue woh ain bulb ke neechay baith gayi thi usay arabi parhna nahi aati thi bachpan mein mehez aik dafaa quran pak parha tha magar uskay baad kabhi khol kar bhi nahi dekha tha is ne jalti aankhon se huroof ko shanakht karne ki koshish ki aur hijjay kar ke ataaq ataaq kar parhnay lagi uski hichki bndh gayi thi satroon par ungelian phertey hue uskay gadlay ansoo ourak mein jazb ho rahay they. aayton ke neechay nihayat bareek likhai mein tarjuma likha tha usnay giili gadlii aankhon ko zor se ragar dala aur jhuk kar bareek huroof ko onche aawaz mein parhnay lagi .
“jab aasman phatt parre aur tarre jhar parrin aur jab samandar baha diye jayen aur jab qabrain kareedi jayen to har jaan jaan le gi jo is ne agay bheja aur jo peechay chorra. .. . ae ensaan, tujhe kis cheez ne fraib diya, apne karam walay rab se. .. “
aanso-on ke golay ne is ki aawaz ka gala ghoont diya tha aankhon mein tanii mutiyali dhund ki chadar ne is ki benai chean li thi .
“ tujhe kis cheez ne fraib diya, apne karam walay rab se jis ) rab ne ( tujhe peda kya, phir theek thaak kya, phir ) durust aur ( barabar banaya. . “
usay kund churee se zibah kya ja raha tha dard ki shiddat uski bardasht se bahar thi .
“ jis ne tujhe peda kya phir theek banaya, phir hamwar farmaya jis soorat mein chaha tujhe tarkeeb diya. .. “ woh quran ko seenay se bhinch kar chalanay lagi is ka poora wujood aik tiis ban gaya tha, har massam se ansoo ubal rahay they saari raat woh roti rahi thi quran ko seenay se lagaye kamray ke tole o arz mein bhatakti rahi thi. .
) bashri Saeed ke novel' ' Raqs junoo' ' se iqtabas (