jab aap bachay ko chalna sikha rahay hotay hain to usay aik jagah khara kar dete hain aur aap thoray se faaslay par khud ja kar baith jatay hain. bacha is waqt bohat dar raha hota hai ,
khud ko tanha mehsoos kar raha hota hai ,
pareshani mehsoos kar raha hota hai ,
woh jald az jald up tak pounchanay ki koshish karta hai ,
aur aap ki goad tak pahunchte hi aap ki baho mein sama jata hai .
aur aap ko bhi yeh baat maloom hoti hai ke bachay ko chalna sikahnay ke liye is marhalay se guzaarna zaroori hai .
kabhi aisa bhi hota hai ke bacha rastay mein dagmaga jata hai aur girnay ke qareeb ho jata hai ,
lekin aap ki mustaqil tawajah ki wajah se woh gÙr nahi paata balkay foran aap usay sambhaal letay hain aur dobarah khara kar dete hain. bilkul isi terhan jab Allah kisi bande ko apna dost banana chaah rahay hotay hain to usay pareshani mein mubtala kar dete hain. woh pareshan ho kar apne mabood haqeeqi ki taraf loutta hai jo ke mustaqil uski taraf mutwajjah hota hai. rastay mein kayi mawaqay aisay bhi atay hain jab bandah apne aap ko tanha mehsoos kar raha hota hai, lekin dar haqeeqat woh tanha nahi hota, balkay Allah ki tarbiyat mein hota hai. bhool jayye is baat ko ke aap Allah ki taraf bherne ki koshish mein girnay lagen aur Allah aap ko nah sambhale. kyunkay hadees ke mutabiq jab insaan Allah ki taraf mutwajjah hota hai aur is ki taraf qadam berhata hai to Allah uski taraf dugna mutwajjah hotay hain .