choron ka aik sargana apne group mein shaamil honay walay aik naye chor ko le kar ilaqay ki visit par nikla aur usay har ghar ki tafseel bitanay laga ke kis ghar mein kitna maal hai, kitney log hain aur wahan kya kya khatraat hain, zara daur aik ghar mein se roshni dikhayi day rahi thi is ne ishara kar ke bataya dekho woh ghar wahan par bohat maal hai, mein ne wahan chaar martaba chori ki aur jharoo day kar maal samaitt kar laya magar woh har baar isi terhan bhara pura ho jata hai aur wahan ki koi khaas hifazat bhi nahi is liye agar tum apni ibtida wahan se karo ge to bohat acha ho ga .
yeh sun kar naya chor bola," ustad! agar tumhare mutadid baar chori karne ke baad bhi woh ghar khushaal hai aur tum isi terhan be saro samani ki haalat mein ho aur phir se usay lotney ka iradah kar rahay ho, kyun nah hum bhi isi Allah se mangeen jo un ko lutne ke baad phir se day deta hai" .