"roshni...koi meri sari zindagi k tajarboon ka nichour mangay tou main kahoon ga k kabhi kisi aurat ko is ki raza k baghair matt apnana aur apna lou tou kabhi is sai muhabat ki khuwahish mat karna...main nai aurat ko hameesha bohat kamzoor samjha tha...moum ki guriya ki terha...laikin aik omer baratnay k baad main nai yeh jana hai k aurat moum hai ya pathar...is ka faisla woh khud karti hai...kisi dosray shaksh ko isay moum ya pathar ka khitab dainay ka haqq nahi hota...woh khud chahay tou mehbob k isharoon ki simat murti rahti hai...aur pathar bannay ka faisla kar laiy tou koi shaksh bhikari ban kar bhi is ki aik nigah-e-eltfat nahi pa sakta...
apni hasti tumhray naam likh kar bhi mera dil aik kashkool ki terha khali hai roshni...
yeh woh kashkol hai jou hamdardi, murawat, aur jabar k tehat diay gaiy tamam sikkay neechay gira daita hai...jaisay kisi andhay faqeer ko khud ba khud khabar hoo jaiy k isay dia janay wala sikka khouta hai....yeh kashkol mehaz muhabat sai bana sikkah mangta hai roshni...so aab tak khali hai"
Maha Malik (Novel: Jo chalay tou jaan sey guzar ga'ay)