aur woh judda honay se pehlay apni zindagi ke asasay baant rahay they sab se pehlay unhon ne hansi aadhi aadhi baant li. to woh boli
“tum apne hissay ki hansi ka kya karo ge “
“yateem khanaay ke chhootey chhootey bachon ko day donga“
is ne jawab diya. woh barri farakh dil niklee aur jab udasi baantane ka waqt aaya to kehnay lagi “min is mein se kuch nahi layte saari udasi tum rakh lau “
is terhan is ne sara safar, sara intzaar, khizaa ke saaray mausam, sardiyoon ki tanha shamen usay day den aur kehnay lagi
“aj to tumhe andaza ho gaya ho ga ke mein kanjoos nahi hon “
woh bohat khush howa aur bola “wo dopehar bhi saari mujhe day do jab hum pehli baar miley they “ woh maan gayi to seen ne woh dopehar bhi, udasi, khizaa ke mousamoo, tanhai aur safar ke dhair par rakh di .
itnay mein is ne farakhdilana lehjey mein poocha “in sab ka kya karo ge “ woh barray mutmaen lehjey mein bola“apni udasi ka jo hissa tum ne mujhe diya hai usay zindagi bhar apne sath rakhunga. shamen boorhay laibrarian ke naam kar doonga, intzaar mundair par rakhay is diye mein daal doonga jisay sar-e shaam jala kar koi larki kisi ki chaap ki muntazir ho gi, sara safar khat mein daal kar post kar doonga, jnka mehboob daur ho ga aur is se milnay ke liye be chain ho ga “
rait par ungli se aik lambi lakeer khech kar woh boli “ sara maazi bhi tum rakh lo“ yakdam khushi ki aik lehar uskay chehray par uthi aur aankhon mein akar thehr gayi. is ne cigrette sulgaya aur bola
“tum ne apna sara maazi bhi mujhe day kar bohat acha kya “
“is ka kya karo ge “ is ne poocha
“ise ourh kar phironga anay wali garam tanha dopehron aur sard shaamon mein. .. . “
woh muskarayi “ saaray lafz bhi tum le lau “ woh mamnon sa ho gaya aur bola “ mein saaray lafz bhi post mennu mein baant dun ga. magar hamaray darmain kuch geeton ki sanjh bhi hai “
“han woh bhi tum le lau
“thek hai “ woh mutmaen sa ho gaya
“in ka kya karo ge “
“sarbano,mulahon aur charwahon mein baant doonga. kisi se toot kar mohabbat karne wali larki ko day doonga “ ]
yuhin woh kitni der apne asasay banttay rahay .
( Mazhar al - islam. .. afsana, aao bhichar jayen )