Arosa Hya
Mai is se ittefaq nhi krti...Aik se zyada log apko ache lag skty hain
magar muhabbat aik k bad dosry or dosry k bad teesry shakhs se hrgiz nhi ho skti !!
Is zaman main mai is iqtabas se ittefaq krti hon..
کبھی کبھی میں سوچتا ہوں کہ لوگ کہتے ہیں کہ ایک محبت کے بعد بھی دوسری محبت ہوجاتی ہے
اور میرا دل کرتا ہے کہ میں چیخ چیخ کر دنیا کو بتاؤں کہ ایسا نہیں ہوتا،
ہم پہلے شخص کی پرچھائیاں دوسرے میں ڈھونڈتے رہتے ہیں۔
Or thora khobsorat bnany k liye bachpan ka aik shair :
Chandni chand se hoti hai sitaron se nhi
Muhabbat aik se hoti hai hazaron se nhi
insan zinda rehny k jwaz dhond skta hai, sahary le skta hai magar muhabbat hmesha dil mai usi tra mojzan rehti hai.
Or zindagi guzarny k liye wo bas bahana dond skta hai koshish kr skta hai magar us tra khush nhi reh skta jis tra muhabbat k sath reh skta tha.
Mukammal 2 he dano per ye tasbeh e mohabbat hai..
Jo aye teesra dana... ye douri toot jati hai..
Mutayyan waqt hota hai Mohabbat ki namazo ka..
Ada jinki nikal jaye qaza b chhooth jati hai..
Mohabbat ki namazo mai Imamat aik ko sonpen..
Isy takny usy takny se niyat toot jati hai..
Mohabbat dil ka sajda hai jo hai toheed pe qaaem..
Nazar k shirk walo se mohabbat rooth jati hai..