Roshniyon Ke Shehar Main Utar Kar
Main Ye Bhool Chuka Tha
Ke Roshniyon Ke Shehar Main Rehne Waale Laug
Aksar Raat Ke Us Andhere Ki Tarah Hote Hain
Jahan Dil Jalaaye Jaate Hain
A Roshni Zara Humein Bhi Raah Dikha
Ke Is Shehar Main Andheron Ke Maatam
Ka Bol Baala Hai Roshniyon Ka Janaaza Hai
Ye Laug Dil Dukhaane Ke Aadi Hain
Is Shehr_E_Roshni Main Armano Ke Khoon Hote Hain
Roshniyon Ke Shehar Main Har Khawahish Marti Hai
Is Roshniyon Ke Shehar Main Har Aas Jalti Hai
Kaash Koyi Batlaaye In Roshniyon Ke Shehar Waalon Ko
Ke Roshniyon Ke Shehar Main Rehne Se Maatam Door Nahin Hote
Dukh To Dukh Hote Hain Roshniyon Se Kam Nahin Hote
( Mohammad Sajid )