View Poll Results: Cast Ur Votes

Voters
5. You may not vote on this poll
  • naz

    0 0%
  • Silent Tears

    1 20.00%
  • Zee Leo

    3 60.00%
  • *Maliha*

    0 0%
  • Arosa Hya

    0 0%
  • Vampire

    0 0%
  • Amna Rani

    0 0%
  • fareenaa

    1 20.00%
Page 1 of 2 12 LastLast
Results 1 to 10 of 14

Thread: Polling 4 Mohabbat Kadah Competition October 2014

  1. #1
    Join Date
    Feb 2008
    Location
    Karachi, Pakistan, Pakistan
    Posts
    126,450
    Mentioned
    898 Post(s)
    Tagged
    10965 Thread(s)
    Rep Power
    21474979

    candel Polling 4 Mohabbat Kadah Competition October 2014



    Masha Allah Competition Main 8 Members Ne Part Liya..Sub K jawab aik se barh ker aik ...ab waqt hai polling ka...apne pasendeda jawab ko vote kijeye...

    Sawal Yeh tha...

    "Kia Mohabbat Buzdil banati hai ? ya phele se zaida mazboot ?

    Rules:


    1 member 1 hi vote karay ga
    khud ki sharing ko vote nahi kar saktay
    Last date 28/10/2014 hai
    Winner polling aur admins mil kay decide karen gye

  2. #2
    Join Date
    Feb 2008
    Location
    Karachi, Pakistan, Pakistan
    Posts
    126,450
    Mentioned
    898 Post(s)
    Tagged
    10965 Thread(s)
    Rep Power
    21474979

    Default

    naz

    mohabbat insan ko buzdil waise bana deti hai...kio k khouf sa rehta hia khone ka ...iska matlab yeh nahi hota k aitebar nahi ..lekn khone ka darr ap ko buzdil bana deta hai...kuch marhalon main insan mohabbat main bhot bahadur nazar aata hai...aise he kuch main buzdil ..isko bebasi se tashbhi her giz nahi de jaye gi ...yeh buzdili khoney ke darr k bais ati hia...her situation main insan alag tarah ka hota hia...leken sub se phele ap ko her chez ko samjhna chahye ..rishton ko samjhna chahye ...kahe kisi rishtey main koi kaami na ajaye ...mohabbat bhot bara ehtraam wala rishta hai leken is main aisa nahi hota k app aik rishty ko nibhane k chakr main app dosron ko respect na de ..islye her rishtey ki ahmiyat ko phele samjhna chahye ..jab app sub rishton ko sath lekr chalne lagey gai tu app ko kisi b tarah ka khouf ya buzdili nahi rahe gi...kio k sub app se mutmain hongai...jab hum khety hiana hamain logo ki parwah naih karni chahye ...yeh duniya logon k bina chal b nahi sakti..yeh log he hain jin k sath rehna parta hai ..inko dekhna parta hai...inke bina sach tu yeh hia k zindagi akale guzar b nahi sakti..islye mera manna yeh hai k sub ko unka haq de ker apne ap ko sedhey rasty se chala kar app her chez ka muqabla kar sktey hain...

  3. #3
    Join Date
    Feb 2008
    Location
    Karachi, Pakistan, Pakistan
    Posts
    126,450
    Mentioned
    898 Post(s)
    Tagged
    10965 Thread(s)
    Rep Power
    21474979

    Default

    Silent Tears

    Mohobbat

    Mohobbat Baqa Bhi Hai Mohobbat Fanaa Bhi Hai

    Mohobbat Main Buzdili Ye Hai Ke Bichar Na Jaayein

    Mohobbat Main Buzdili Ye Hai Ke Wo Roothe Na

    Mohobbat Main Buzdili Ye Hai Ke Koyi Baat Buri Na Lage

    Mohobbat Main Buzdili Ye Hai Ke Saari Raat Us Ke Liye Rote Rehna

    Mohobbat Main Buzdili Ye Hai Ke Us Ke Dil Se Na Utar Jaayein

    Mohobbat Main Buzdili Ye Hai Ke Koyi Aankh Usay Na Dekhe

    Mohobbat Main Buzdili Ye Hai Koyi Us Tak Na Pohonche

    Mohobbat Main Bus Mohobbat Hi Buzdili Hai

    Insan Maut Jaisi Haqeeqi Zindagi Se Bila Waja Khauf Zada Rehta Hai

    Lekin Jub Mohobbat Insan Ko Mazboot Banaati Hai

    TO Insan Ke Dil Se Saare Khauf Saari Buzdili Nikal Jaati Hai

    Insan 2 Soorton Main Is Nehaj Par Pohonchta Hai

    Ek Mohobbat Ke Mill Jaane Par Ek Mohobbat Ke Bichar Jaane Par

    Mohobbat Mill Jaaye Tub Bhi Wo Mazboot Rehta Hai

    Lekin Agar Mohobbat Bichar Jaaye Chahe Wo Kisi Bhi Surat Main Ho

    Insan Patthar Hi Tarah Mazboot Ban Jaata Hai

    Phir Usay Koyi Cheez Tor Nahin Sakti

    Phir Kisi Ke Mill Jaane Se Ye Bichar Jaane Se Kuch Farq Nahin Parta

    Kyun Ke Insan Ko Waqt Hi Mazboot Banaata Hai

    Mohobbat Jo Is Dunya Ka Qeemti Tareen Jazba Hai

    Jo Do Dilon Ko Ek Qalb Main Dhaalti Hain

    Buzdil Bhi Banaati Hai Mazboot Bhi Banaati Hai

    Lekin Muazrat Ke Saath

    Main Mohobbat Ko Is Dunya Ka Se Sub Se Sacha Aur Khara Rishta Nahin Maanta

    Hargiz Nahin Maanta

  4. #4
    Join Date
    Feb 2008
    Location
    Karachi, Pakistan, Pakistan
    Posts
    126,450
    Mentioned
    898 Post(s)
    Tagged
    10965 Thread(s)
    Rep Power
    21474979

    Default

    Zee Leo
    vomtjs - Polling 4  Mohabbat Kadah Competition October 2014MOHABBATvomtjs - Polling 4  Mohabbat Kadah Competition October 2014



    Premium sparkle MC - Polling 4  Mohabbat Kadah Competition October 2014MohabbatPremium sparkle MC - Polling 4  Mohabbat Kadah Competition October 2014
    Rishta Hai Diloon ka.. Premium sparkle MC - Polling 4  Mohabbat Kadah Competition October 2014MohabbatPremium sparkle MC - Polling 4  Mohabbat Kadah Competition October 2014 se barh ka koi bhi true feeling nahi..
    Premium sparkle MC - Polling 4  Mohabbat Kadah Competition October 2014MohabbatPremium sparkle MC - Polling 4  Mohabbat Kadah Competition October 2014 chahey toe 2 dostoon main hoo ya 2 lovers main ya kisi terha ke relation main Insaan ko buhat mazboot bana deti hai. Premium sparkle MC - Polling 4  Mohabbat Kadah Competition October 2014MohabbatPremium sparkle MC - Polling 4  Mohabbat Kadah Competition October 2014 kaise buzdil bana sakti hai zara sochen aap.. Jab insan kisi se Sachi Premium sparkle MC - Polling 4  Mohabbat Kadah Competition October 2014MohabbatPremium sparkle MC - Polling 4  Mohabbat Kadah Competition October 2014 karta hai toe woh us ke lye sab kuch bhool jata hai.. bas usi ka khayal dil o dimagh pe chaya rehta hai. har pal usi ka intizaar rehta hai.
    Premium sparkle MC - Polling 4  Mohabbat Kadah Competition October 2014MohabbatPremium sparkle MC - Polling 4  Mohabbat Kadah Competition October 2014 ki sab se bari khoobi he yahi hai ke Premium sparkle MC - Polling 4  Mohabbat Kadah Competition October 2014MohabbatPremium sparkle MC - Polling 4  Mohabbat Kadah Competition October 2014 Insaan ko Strong karti hai. Is ki sab se bari example ye hai ke Insan ko zindagi main sab se azeez cheez uski zindagi hoti hai aur Premium sparkle MC - Polling 4  Mohabbat Kadah Competition October 2014MohabbatPremium sparkle MC - Polling 4  Mohabbat Kadah Competition October 2014 jisey hoo jaye usey zindagi ki parwa nahi rehti hai woh apne mehboob ke lye kuch bhi karney ko har pal tayyar rehta hai toe batayen aap ke Premium sparkle MC - Polling 4  Mohabbat Kadah Competition October 2014MohabbatPremium sparkle MC - Polling 4  Mohabbat Kadah Competition October 2014 ne kaise buzdil banaya? Jab Jaan ki parwa he na rahi toe phir kaisi buzdili? Isi lye kaha jata hai ke Premium sparkle MC - Polling 4  Mohabbat Kadah Competition October 2014MohabbatPremium sparkle MC - Polling 4  Mohabbat Kadah Competition October 2014 kartey nahi Premium sparkle MC - Polling 4  Mohabbat Kadah Competition October 2014MohabbatPremium sparkle MC - Polling 4  Mohabbat Kadah Competition October 2014 Hoo Jati hai.

    Ye Premium sparkle MC - Polling 4  Mohabbat Kadah Competition October 2014MohabbatPremium sparkle MC - Polling 4  Mohabbat Kadah Competition October 2014 he thi Jab aik Hiran (Deer) jis ke bachey ko badshah le ja raha tha Badshah (Subugtageen) ke peechey peechey chali aai bina kisi khoof ke agar Premium sparkle MC - Polling 4  Mohabbat Kadah Competition October 2014MohabbatPremium sparkle MC - Polling 4  Mohabbat Kadah Competition October 2014 Buzdil banati toe woh kyon aati peechey peechey ? woh toe aik janwar thi hum toe phir Insaan hain..

    Premium sparkle MC - Polling 4  Mohabbat Kadah Competition October 2014MohabbatPremium sparkle MC - Polling 4  Mohabbat Kadah Competition October 2014 Insan ka hosla barhati hai Jeeney ki waja peda karti hai Jis se hum Premium sparkle MC - Polling 4  Mohabbat Kadah Competition October 2014MohabbatPremium sparkle MC - Polling 4  Mohabbat Kadah Competition October 2014 kartey hain us ko khoney ka tasawar bhi nahi kar saktey ye humari buzdili nahi humara pyar hai us ke lye. Khuloos se Bharpoor aur Pakeeza Rishton main Buzdili Kabhi aa he nahi sakti beech main buzdil wohi log hotey hain jo Premium sparkle MC - Polling 4  Mohabbat Kadah Competition October 2014MohabbatPremium sparkle MC - Polling 4  Mohabbat Kadah Competition October 2014 kisi waja se kartey hain ya Premium sparkle MC - Polling 4  Mohabbat Kadah Competition October 2014MohabbatPremium sparkle MC - Polling 4  Mohabbat Kadah Competition October 2014 ke daway kartey phirtey hain.. Premium sparkle MC - Polling 4  Mohabbat Kadah Competition October 2014Mohabbat Premium sparkle MC - Polling 4  Mohabbat Kadah Competition October 2014main Insan ko Duniya ki parwa nahi rehti agar aap ko apni Premium sparkle MC - Polling 4  Mohabbat Kadah Competition October 2014MohabbatPremium sparkle MC - Polling 4  Mohabbat Kadah Competition October 2014 se zyada kisi aur ki parwa hai toe phir woh aap ki Premium sparkle MC - Polling 4  Mohabbat Kadah Competition October 2014MohabbatPremium sparkle MC - Polling 4  Mohabbat Kadah Competition October 2014 nahi Zaroorat hai. Baaz Dafa Rishtoon Main Majboorian beech main ajati hain magar
    Premium sparkle MC - Polling 4  Mohabbat Kadah Competition October 2014MohabbatPremium sparkle MC - Polling 4  Mohabbat Kadah Competition October 2014 jinhen hoti hai woh un halaat aur mushkilaat se ghabratey nahi balkey uska bekhoof ho kar muqabla kartey hain mar jatey hain magar Premium sparkle MC - Polling 4  Mohabbat Kadah Competition October 2014MohabbatPremium sparkle MC - Polling 4  Mohabbat Kadah Competition October 2014 ko nahi chortey aur agar kisi waja se sath choot bhi jaye toe woh Buzdili nahi majboori hoti hai Insaan ki.

    Agar Premium sparkle MC - Polling 4  Mohabbat Kadah Competition October 2014MohabbatPremium sparkle MC - Polling 4  Mohabbat Kadah Competition October 2014 Budzil banati toe aaj itna arsaa guzar janey ke baad bhi Aaj Laila Majnoo, Heer Ranjha, Sohni Mahiwal aur Romeo Juliet ka naam Zindah nahi rehta..
    In Logoon ne Premium sparkle MC - Polling 4  Mohabbat Kadah Competition October 2014MohabbatPremium sparkle MC - Polling 4  Mohabbat Kadah Competition October 2014 ke lye apni Jaan tak dedi magar Premium sparkle MC - Polling 4  Mohabbat Kadah Competition October 2014MohabbatPremium sparkle MC - Polling 4  Mohabbat Kadah Competition October 2014 se Peechey nahi hatey sirf yahi nahi in jaise hazaroon ne apni Premium sparkle MC - Polling 4  Mohabbat Kadah Competition October 2014MohabbatPremium sparkle MC - Polling 4  Mohabbat Kadah Competition October 2014 ke lye apna sab kuch qurban kya hai.




    couplemakinglovewallpapers 2  - Polling 4  Mohabbat Kadah Competition October 2014


  5. #5
    Join Date
    Feb 2008
    Location
    Karachi, Pakistan, Pakistan
    Posts
    126,450
    Mentioned
    898 Post(s)
    Tagged
    10965 Thread(s)
    Rep Power
    21474979

    Default

    *Maliha*

    Mohabbat kay 2 roop hain jesay sikkay ki do sides hoti hain ek woh jo aap ko mazbooti aata karta hai Mohabbat insan ko mazboot aur bahadur banati hai kion kay aap kay mehboob nye aap ko aisa pyar aisa aitamad dia aap ko aisi support dee kay aap khud ba khud bahadur ho jatay hain aap kay andar har cheez say larnay ka hosla aa jata hai dunya ghar walon logon ki zuban raviyon ko sehnay ka hosla aa jata hai koi bhi kam kartay hoye koi bhi qadam uthatay hoye aap kay dil ko aitminan hot a hai kay haan mai akeli/akela nahi hoon meri mohabbat mujhy girnay nahi dey gi mai jab bhi larkharaon gi/ga woh mujhy mazbooti sey thaam ley gi yeh to ho gaya kay mohabbat nye aap ko mazboot bana dia aur doosri side woh jo insan ko buzdil bana deti hai mohabbat kay roothnay ka dar khafa honay ka imkan mehboob rooth na jaye yeh soch kay dil kanp jata hai jahan dat kay muqabla kia jata hai wahan bazahir to dil mazboot hota hai lekin andar kahin khof aur kahin buzdili chupi bethi hoti hai mohabbat kay chin janay ki baharhal mohabbat mazboot banaye ya buzdil bas mohabbat aap kay saath rahay hamesha

  6. #6
    Join Date
    Feb 2008
    Location
    Karachi, Pakistan, Pakistan
    Posts
    126,450
    Mentioned
    898 Post(s)
    Tagged
    10965 Thread(s)
    Rep Power
    21474979

    Default

    Arosa Hya

    Umda swal.......hmesha ki tra !!Muhabbat insan ko buzdil bnati hai ya mazbot........ye tjurba her shakhs k liye mukhtalif ho skta hai
    Albatta buzdil logon k liye kafi mushkil hota hai Q k Wo darty hain mutwaqqo mausharti rawayyoun se, baghawat se!!
    Aur Kuch log buhadri ki had b par krty hoay aik muhabbat mai baqi tmam muhabbaton ko pamal kr dety hain.
    Khair Is se farq nhi parhta k Muhabbat kisi buzdil insan ko hoi ya buhadur insan ko.....
    Bilaakhir Muhabbat insan ko mazbot hi bnati hai...
    Wo is liye k muhabbat krny wala insan aziyyaton aur masaib ka samna krna sikh jata hai ahista ahista.
    Kuch log jo muhabbat ko apni zaat se chupa kr rakhty hain k kho jany ki takleef se do char na hon wo b mazbot hoty hain ..... Kuch apni muhabbat k liye larhty hain tot jaty hain wo b mazbot hoty hain.
    Lehaza Muhabbat insan mazbot bnati hai kamzor nhi... Q k
    Muhabbat krny waly log jazbat ki Ro mai nhi Beh skty. Wo Sabar, Aesar, Khuloos aur tasleem se tameer hoty hain...kisi chittan ki manind mazbot!!
    Azmaishain aur preshaniyan un k istaqlal mai darharahin nhi dal skten. Koi b tofan un k hosly past nhi ker skta.
    Koi b khwahish unhain khudgharz nhi bana skti... Q k muhabbat khuda ka rasta hai...Aur Muhib Khuda per Kamil Yaqeen rakhty hain !!







  7. #7
    Join Date
    Feb 2008
    Location
    Karachi, Pakistan, Pakistan
    Posts
    126,450
    Mentioned
    898 Post(s)
    Tagged
    10965 Thread(s)
    Rep Power
    21474979

    Default

    Vampire

    Insan ki zindagi mukhtasir si insaan aik fanah honay wali cheez hai jo apni zindagi guzar kar mout ki aghosh main chala jata hai .. ab is zara si zindagi main insaan ko ALLAH PAK ne kuch aisi nematon se nawaza hai jin ki wajah se insaan marnay k bad b muddaton yaad reh jata hai ..
    Mohabbat aik ehsaas hai aik jazba hai jo ho to jata hai ba asani par usko nibhana nihayat hi mushkil tareen kam hai .. insaan har waqt doraahay pe khara rehta hai .. mohabbat insaan ko kamzor nahi karti .. yeh halaat hotay hain jo insaan ko majbur kartay hain tortay hain .. mohabbat to insaan ko pur azam karti hai .. insaan bari se bari qurbani denay pe amada hojata hai .. apna sab kuch qurban kar deta hai .. Mohabbat hojana aur phir mohabbat ko nibhana bazaat e khud aik himmat hosla ka kam hai .. aksar log ghabra jatay hain is main mohabbat ne unko kamzor nahi kiya hota woh khud buzdil hotay hain ..

    kehtay hain insaan mohabbat ko khonay se darta hai .. main is baat ko tasleem nahi karta .. mohabbat aik pukhta irada aik pukhta yaqeen ka naam hota hai is main khonay ka dar unko hota hai jo mohabbat ko sirf pa lenay se mashroot kartay hain ... par mohabbat ki aik hi to qsim nahi hoti .. mohabbat mukhtalif shaklon main humaray ird gird hisaar bandhay khari hai .. mohabbat main sharayet nahi hoti na hi mohabbat ka matlab sirf pa lena hota hai .. kuch log mohabbat kartay hain aur woh apni jagah reh k us mohabbat ko saari zindagi nibhatay hain .. Mohabbat to aik pakeeza rishtay ka naam hai jo lafani hai ... jo rooh ka rooh se dil ka dil se hota hai .. Mohabbat karnay walay to bohat buhadur hotay hain .. woh har haal main shukar kartay hain .. bhalay to unko jala do , dafna do , mita do woh bilkul b nahi gabratay .. bhalay sehra ki rait chan'na paray , pahaaron ko kaatna paray tapti dhop main phiraya jaye woh kar guzartay hain .. woh buzdil nahi hotay ..
    Mohabbat mazboot banati hai ... Mohabbat main to insaan jaan tak denay se nahi ghabratay .. Mohabbat to fani ko lafaniyat bakhshti hai ..

    baqol Faiz Ahmed Faiz

    Yeh Bazi Ishq ki Bazi hai , Jo chahay Laga do Dar kesa ???
    Gar Jeet gaye to Kehna , Haaray b to Bazi Maat nahi ...!!!




  8. #8
    Join Date
    Feb 2008
    Location
    Karachi, Pakistan, Pakistan
    Posts
    126,450
    Mentioned
    898 Post(s)
    Tagged
    10965 Thread(s)
    Rep Power
    21474979

    Default

    Amna Rani

    Bilashuba sab ki sharing zabardast hain.sab k apne apne tajurbaat hain.........or me b aona hi tajurba yahan bayan karun gi..............
    Mere mutabiq
    witch - Polling 4  Mohabbat Kadah Competition October 2014
    Muhabbat agar sachi or mukhlis ho to insaan ko behad mazboot bana deti hai theek usi tarha jistarha aala mayaar ki dawa insan k jism ko mazbooti ata karti hai...............lekin agar muhabbat me khoot ho to insan buzdil ban jata hai.......khone ka darr to tabhi ho ga na agr apko apni muhabbat pe yaqeen nahi hoga......warna pana hai or paa kar hi rehna hai,,,,,,,,,,,,isay kehte hain bahaduri..
    witch - Polling 4  Mohabbat Kadah Competition October 2014.....

  9. #9
    Join Date
    Feb 2008
    Location
    Karachi, Pakistan, Pakistan
    Posts
    126,450
    Mentioned
    898 Post(s)
    Tagged
    10965 Thread(s)
    Rep Power
    21474979

    Default

    fareenaa

    Mohabbat buzdil hergiz nhi bnati ye to woh jazba hai jo insan ko dunya se larne ka hosla de deta aik kamzor nihatte insan ma bhi woh hosla ajata k ksi taqatwer se be khof takra jata

    ye mohabbat hi to hoti jo aik sipahi apne dil ma apne watan k liye rakhta
    aur mousam ki shiddaton ko jhelta apni jawani apne pyaron aish o aram ko chor sarhadon p data rehta woh jab jab kamzor perne lagta apne watan ki mohabbat use nayi taqat ata kerti woh phr hosla buland kerta aur dat jata dushman k khilaf

    Allah ki mohabbat ka jazba jo kafir k age haq bat kehne se khof nhi khata chahe zulm k pahar tor diye jain azyaton ka samander us k age ho kuch b ezaaa de di jaye us k zuban se La ilaha illallah hi nikalta jata tha ye kya tha akhir? Allah se mohabbat ki taqt thi na jis ne aik kamzor khali hath bnde ko bekhofi ata kiii


    kbhi dekhna ho to aik maa ki mohabbat dekh lain phr shayad koi misal baqi na reh jaye is bat k haq ma apne bache se mohabbat k taqat aik maa ko dard ka darya aboor kara deti woh mout ki dehleez choo k aik nayi rooh ko janam deti aik dhan paan si aurat ma ye taqat kese ajati sirf us ane wale bache se mohabbat hi use is azyat se bakhushi guzar deti na? phr zindagi k her hisse ma aik maa apni aulad k her mushkil k age dhal ban jati chahe us k pass ahliat ho ya nhi woh apne se taqatwer se takra jati per apne bache p aanch nhi aane deti ye mohabbat ki taqat hai

    ksi janwer se us k bache ya ksi parinde k hi ghonsle ma us k andon ye bachon ki hath lagane ki koshish b krnna asaan nhi kunk woh janwer ya chota sa parinda apni pori taqat lga dega us ma bachon k mohabbat woh jazba bhar degi woh aap ki aankhain tak noch le

    aur ab woh mohabbat jo sab se aam ho k bhi bht khas hai jo do dilon ma hoti jin ma ik rooh ka rishta ban jata jab koi aik dosre k siwa nazar nhi ata woh mohabbat b kamzor nhi bnati us k taqat hoti aik aisii k zamane ko age jhuka deti per khud nhi jhukti jo dunya ki sazishon se rasm o riwaj se onch nech ksi se darti nhi her chez ka muqabla kertii use paise ka lalach dia jata onche khandan ki chamak dikhai jati khobsurti k jalwe dikhaye jate per sachi mohabbat kerne wala kamzor nhi perta ksi lalach ma nhi aata use us ki mohabbat itna hosla de de chuki hoti k use koi lalach tor nhi pata

    bas mohabbat kbhi buzdil nhi bnatiiii pehlr se zyada mazboot bna deti



  10. #10
    Join Date
    Dec 2009
    Location
    SAb Kya Dil Mein
    Posts
    12,694
    Mentioned
    1006 Post(s)
    Tagged
    2307 Thread(s)
    Rep Power
    21474864

    Default

    voted





Page 1 of 2 12 LastLast

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •