aik dafaa aik badshah ne aik kumhar ke gadhon ko aik qitaar mein chaltay dekha. kumhar ko bulaya aur poocha yeh kis terhan seedhay chaltay hain. kumhar ne kaha jo line torta hai is ko saza deta hon. badshah bola mere mulk mein aman o Amaan theek kar satke ho. kumhar maan gaya. . dar-al-hakoomat pahunchte hi adalat laga li' chor ka muqadma aaya to chor ko haath katnay ki saza di .badshah ka wazeer agay barha kumhar ke kaan mein kaha ke yeh apna aadmi hai. kumhar ne bator judge faislay ka elaan kya chor ka haath kaata jaye aur wazeer e azam ki zabaan kaat di jaye badshah ne faisla par amal karaya .aag o khoon ki lapait mein aaye hue mulk mein aik faisla se hi mukammal aman qaim ho gaya .sach hai ke agar ; agar gunehgaar ki sifarish karne wali zabaan kaat di gayi .agar apnon ki sarparasti chore di gayi .agar mukhalfin ko phansanay ki siyasi chaalein band kar di gyin- to golian bhi band ho jayen gi aur qatal o ghaarat bhi ruk jaye ga, aman bhi qaim ho jaye ga. .