aap jab bhi kabhi dhool uratay hue sarkain saaf karte hue khakrob ke ya kachray ke dheron se gannd uthanay walay bachon ke paas se guzren to kabhi naak ke oopar romal ya haath nah rakhen. kyunkay woh bhi insaan hain jo yeh kaam kar rahay hain. aur aap naak par haath rakh kar unki tazleel kar rahay hain ke dekho mein aik afzal aadmi hon. mein jab saans laita hon is gird mein nahi laita jis mein tum letay ho .
ziyada se ziyada yeh kar liya karen ke un ke darmiyan se guzren to saans rok kar guzren. lekin yeh nah karen ke muthi bana kar mun par rakh len. un ko bhi insaan aur apna mohsin samjhain khaas kar khakrob ko jo aap ke phelaaye hue gannd ko saaf karte hain. kyunkay woh agar saaf nah karen to yeh kaam hum logon ko khud karna parre
Last edited by Sachii Dosti; 09-11-2014 at 05:29 PM.
Shukriya
پھر یوں Ûوا Ú©Û’ درد مجھے راس Ø¢ گیا