Results 1 to 3 of 3

Thread: Agar Allah Hai Tu Nazar Ku Nahi Ata?

Hybrid View

Previous Post Previous Post   Next Post Next Post
  1. #1
    Mohammad Sajid's Avatar
    Mohammad Sajid is offline * خاک نشین *
    Join Date
    Mar 2008
    Location
    Hijr
    Posts
    152,881
    Mentioned
    108 Post(s)
    Tagged
    8578 Thread(s)
    Rep Power
    21475005

    candel Agar Allah Hai Tu Nazar Ku Nahi Ata?

    1 shakhs ny kisi darwaish se poocha .

    agar Allah hai to nazar kyun nahi aata ?

    jinat ko Allah ny aag se banaya hai. un ko jahannum ki aag mein jhonknay se kya takleef hogi ?

    mere gunaaho ki saza mujhe kyun miley gi jabkay Allah ke hukum ke baghair aik pata bhi nahi hilta ?
    yeh sun kar darwaish ny gussa mein aa kar aik dheela utha kar usay mara. is shakhs ka sir phatt gaya. woh seedha qaazi ki adalat mein pouncha aur apni kahani sunai aur daad rassi chahi .

    qaazi ny darwaish ko bulaa kar baz purse ki. darwaish ny jawab diya. yeh shakhs theek kehta hai. is bad aqeedah shakhs se mujhe kuch poochnay ki ijazat di jaye .
    qaazi ny ijazat day di. darwaish ny is shakhs se poocha .
    to kehta hai ke tera sir zakhmi honay se tujy takleef ho rahi hai lekin mujhe takleef nazar nahi aati .

    khuda ny tujy matti se banaya hai to phir matti ke dheelay se tera sir kyun phatt gaya .

    bta, mein teri nazar vn mein tujy dhela maarny ka mujrim kaisay thehra jabkay khuda ke hukum ke baghair koi pata bhi nahi hilta .

    woh shakhs lajawab ho gaya. aik lafz bhi is ki zabaan se ada nah ho saka. qaazi ny darwaish ko buri kar diya aur is shakhs ko buri laan ta'an ki .
    haasil kalaam ;

    khudawand kareem par tanz aur nuqta cheeni karne wala khud zaleel o khawar hota hai .
    Last edited by Sachii Dosti; 07-11-2014 at 10:32 PM.

  2. #2
    Join Date
    Feb 2008
    Age
    16
    Posts
    58
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    30 Thread(s)
    Rep Power
    0

    Default

    beshak

  3. #3
    Mohammad Sajid's Avatar
    Mohammad Sajid is offline * خاک نشین *
    Join Date
    Mar 2008
    Location
    Hijr
    Posts
    152,881
    Mentioned
    108 Post(s)
    Tagged
    8578 Thread(s)
    Rep Power
    21475005

    Default

    Shukriya
    پھر یوں ہوا کے درد مجھے راس آ گیا

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •