aik martaba hamein maskeen poor shareef jaany ka mauqa mila. wahan aik choti si deewar thi. usay talba ouncha karna chahtay the. chunancha woh cement ki aik bori le aeye. eenten bh‬ mungwa len aur khud hi masala bana kar zara onche deewar bana di .
magar kuch arsay ke baad oopar ki bani hui deewar khud-bakhud gir gayi
woh eenten aapas mein to mazbooti se jari hui theen magar pehli wali deewar ke sath is ka joor theek nah lag saka tha. talba phr pareshan hue. pihr unhon neh kuch arsay ke baad dobarah pesey jama kiye aur cement khareed kar dobarah deewar banai. magar wohi howa jo pehlay howa tha
yeh aajiz wahan gaya hua tha to un talba neh kaha ke suna hai aap engeenir hain lehaza aap bta dijiye ke hum kahan ghalti kar rahay hain. is aajiz neh un se arz kya ke aap masala bh‬ theek bana rahay hain, pani bh‬ poora daal rahay hain ,
cement ko bh‬ geela kar rahay hain magar aik kotahi bh‬ kar rahay hain. woh kotahi yeh hai ke purani deewar ke oopar matti jami hui hai, aap logon neh mouti mouti matti utaar di hai lekin is ko achi terhan saaf nahi kya lehaza aap lohay ka brush le kar is ko purani deewar ki cement par achi‬ terhan hatta ke un par matti aur mil kuchail khatam hojaye
chunancha talba neh aisa hi kya. unhon neh achhi‬ terhan ragar ragar kar deewar ke oopar ki satah ko bilkul saaf kardiya aur phr cement ki madad se deewar bana di. woh deewar bilkul sahih deewar ki terhan mazboot aur yak jaan ban gayi. talba barray heran hue
is waqt is aajiz neh mauqa ghanemat jantay hue un talba ko samjhaya ke yahan Maarfat ki aik baat samajh aati hai ke. .! !" jab taq purani eenten meli rahen un ka nayi cement ke sath joor pakka nah ho saka yahi haalat hamaray qalb ki hai ,
jab taq qalb ke oopar gunaaho ki mil matti rahay gi tab taq is dil ka talluq Allah rab ulizzat ki pak zaat ke sath nahi ho sakta
" Aziz talba hamein chahiye ke hum gunaaho se sachhi paki tauba karen .
jab taq hum gunaaho ki jaan nahi chornge is waqt taq pareshaaniya hamari jaan nahi choren ge
hazrat molana Sheikh Zulfiqar Ahmed nqshbndi ke bayan se makhoz