​great........
sahir tum to bilkul hi pagal ho tum itna bara faisla kar bhi kaisay satke ho
arrey kahin nahi bhagee ja rahi haath chore do mera
tumahare paas hi to baithi hon
aur bhala tum ne kyun kya aisa tumhe pata bhi hai mein aik cancer zada larki hon mere paas ziyada waqt nahi hai aur tum phir bhi mujh se shadi karna chahte ho kyun aakhir kyun ?
Sabiha Sabiha mein sab jaanta hon mujhe maloom hai par mein dil ke hathon majaboor hon mein tumhe duniya ki har khusi day dena chahta hon tumhara daman khoshion se bhar dena chahta hon itni khusihyan day dena chahta hon ke agar mout bhi aa jaye to apna maqsad bhool jaye aankhon se ansoo bahar anay ko dastak day rahay they par sahir ne inhen andar hi janib dhkil diya
aur apna bharam totnay nah diya
is se agay woh kuch nahi kh paaya kyunkay uski makhrooti ungli sahir ke honton par Sabt ho chuki thi
kehnay lagi sahir mein sab janti hon tumhe kuch aur kehnay ki zaroorat nahi tumhari aankhon mein sab dukhkta hai aakhir tum hi se to seekha hai aankhon ko parhnay ka hunar
acha haath to chore do
yeh kehte waqt hamesha ki terhan uskay makhmali honton par muskaan saji thi
is ne kha mein nahi chhorta
is ka matlab mere marnay ke baad bhi haath thaamay raho ge
haan pakdae rakhon ga
fikar na karo mein chudava lon gi
acha sahir un baton ko chhorro mujhe aaj tum se aik wada lena hai bolo karo ge wada mujh se
is ne asbat mein sir hila diya
Sabiha ne ussay aik band packet diya aur kha ke wada karo is packet ko is din kholo ge
jis din mere badan par safaid chamkta libaas hoga
jisay jisay log kafan boltay hain
woh bol rahi thi sahir ki aankhon aur aanso-on ki kashmakash jari thi
par abhi sahir ka bharam baqi tha
uski zaat ki terhan uska wada bhi sahir ko Aziz tha
is ne Sabiha se wada kar liya
aaj un sab baton ko guzray chaar mah guzar chuke hain Sabiha ab bhi uskay sath hai uska haath bhi sahir ke hathon ki panah mein hai
Sabiha ke makhmali honton par abhi bhi wohi hamesha wali aur chaar mah pehlay wali muskaan dhari hai
bas sirf farq itna hai aaj uski palken aapas mein mili hoy hain uskay haan uskay saanson ki mehak aaj fza mein ras nahi ghol rahi
aaj woh uss se nahi kh rahi ke sahir mera haath chore do
aaj haan aÙske badan par safaid chamkta libaas hai
haan yahi libaas hai kyunkay Sabiha cancer se nah lar saki
Sabiha mar gai
sahir ko aaj bhi chaar mah pehlay ki batain yaad hain haan woh uski ankhen. . aur aur unn aankhon ka bolna uskay honton ki is waqt ki muskaan yaad hai
haan is ne chaar mah pehlay wada liya tha woh packet diya tha woh woh ab bhi hai sahir ke paas hai
. haan ussay sab yaad hai
uski qasmain uske wade
sahir ke hathon ki girift uskay hathon par aur sakht hogy
sahir ne aaj aankhon se koy iltija nahi ki woh baras rahi theen
haan karna hai usay wada poora karna hai
is ne jese hi wo packet khola
teen safhay palatnay ke baad likha thamujhe maloom tha tum apna wada poora karo ge
sahir mujhe ab aakhri manzil ki taraf jana hi hai
mere hathon se apne ansoo saaf karlo
meri aakhri manzil aagy kya mujhe muskuratay hue vidaa nahi karo ge ?
aur aakhir mein afsurdah se symbol se pehlay likha tha
aur aur ab tu tum bh mera hath chor do na
Last edited by Sachii Dosti; 07-11-2014 at 11:35 PM.
پھر یوں Ûوا Ú©Û’ درد مجھے راس Ø¢ گیا
​great........
Shukriya
پھر یوں Ûوا Ú©Û’ درد مجھے راس Ø¢ گیا
lajawab
Shukriya
پھر یوں Ûوا Ú©Û’ درد مجھے راس Ø¢ گیا