kehte hain aik reham dil badshah ne aik naya mehal taamer karaya or kaha ke kisi shakhs ko is mehal ke nazare se mana nah kya jaye kyunkay dekhnay walay ya to dost hon ge ya dushman ,
agar dost hue to khush o Khurram hon ge aur hamein doston ki khoshdli matloob hai aur agar dushman hue to ranj khayege har shakhs ki yahi murad hoti hai ke dushman ko ranj puhanche naiz shayad woh koi aib aur koi nuqs ya kharabi bitayen to is nuqs ko daur kya ja sakay. .. "
aik faqeer ne mehal dekha aur kaha k mehal mein do nuqs hain ,
aik yeh ke aap is mein hamesha nahi rahen ge aur dosra yeh ke yeh mehal hamesha nah rahay ga. . .
badshah is kalaam se is qader khush howa ke woh mehal ghurba aur ke liye waqf kar diya. . .
Last edited by Sachii Dosti; 07-11-2014 at 05:57 PM.
Shukriya
پھر یوں Ûوا Ú©Û’ درد مجھے راس Ø¢ گیا