naz
Kisi bhi rishtey ka sub se phela point hota he izaat hai...agar ap kisi rishtey ko izaat nahi de saktey tu app wo rishta nibhane k qabil bhi nahi hian...aise he mohabbbat ki bhi pehli bunyaad izaat he hoti hia....jis ki izaat na kartey ho us se mohabbat hone ka dawa b na karo ji...or zarori nai hai k izaaat app keh ker karain yeh tu ap k raviye se pata chal jata hai k app izaat kar rahe hain k nahi...!!!
Main manti hon k insan mohabbat main kisi b haad jane ko tiyar hota hia...leken maine yeh b dekha hai k jaab izaat naih hoti tu wo he insan jo mohabbat main kuch b krne ko tiyar hota hai...wo tora dor hone lag jata hia...dil main farq ane lag jata hai...!!!
Mohabbat Ka Jawab Mohabbat bhi Hai aur sath main izzat bhi bhot zarori hia ...agar app sirf Mohabbat kartey hain or izaat nahi or kahe b kisi bhi waqt zalil karde ..kisi k bhi samne kuch b keh dey tu bhala dosre insan k dil main app k liye Mohabbat reh jaye gi ? bhot mushkil hojata hai aise situation main kio k insan ki IZaat e Nafs bhot ahmiyat rakhti hai or yeh agar hawi hojaye tu barey se bara rishta minto secondo main akhri stage per ajata hia...!!!
Islye main tu yehe kahongi k Rishton main sub se pheley Izaat ko he ahmiyat deni chahye or izaat her rishtey ki sub se phele karni chahye...!!!