kabhi kabhi aisa bhi hota hai keh tan sookha hota hai aur hum poor poor bhiig jatay hain. bareash ki khushbu saanson mein rich bas jati hai .
boundon ki moseeqi rooh mein mehsoos hoti hai. khirki se bahar ka sara manzar ujla ujla lagta hai ,
roshan aur be daagh magar andar dhund barhti jati hai ------ barish kabhi bohat romantic laga karti thi .
baadal dekhte hi soondhi matti ki khushbu jaisay ragon mein dornay lagti, lab aap hi aap muskura uthte aur mann boundon ki jaltarang par jhoomnay lagta .
ab wohi barish ragon mein udasi bhar deti hai. khuda jane dil ka mausam baqi mousamoo ki terhan badalta kyun nahi, thehar kyun jata hai