Aik sahafi ne george barnad Shah se interview ke douran poocha ke un ki taweel ulumri ka raaz kya hai? ?
barnad Shah ne jawab diya
" mein hamesha sir thanda aur paiir garam rakhta hon. "
jab yeh interview shaya howa to is ko parh kar hazaron afraad ne sir par barf rakhni shuru kar di aur bohat saaron ne paon ko sayknaa shuru kardiya. aur is ke nateeja mein kisi ko sarsam hogaya aur aksar ko bukhaar ho gaya. aik hafta baad aik bara juloos barnaad Shah ke darwazay par aaya aur ehtijaj shuru kar diya is par barnad Shah ne wazahat ki
" mera woh matlab nah tha jo tum samajh baithy ho. darasal sir thanda rakhnay se meri morad thi ke mein kabhi gussa mein nahi aata aur paon garam rakhnay se mera maqsad yeh tha ke mein hamesha paidal chalta hon aur yahi meri taweel ulumri ka raaz hai. "
Last edited by Sachii Dosti; 09-12-2014 at 11:22 PM.
پھر یوں Ûوا Ú©Û’ درد مجھے راس Ø¢ گیا
Shukriya
پھر یوں Ûوا Ú©Û’ درد مجھے راس Ø¢ گیا